mukalima
ādāb ādāb
taslīmat taslīmat
mizāj-e-aqdas
fazl-e-rabbī hai
namāzeñ paḌhte haiñ
farāġhatoñ se Darte haiñ
allāh ḳhair-o-barkat de
sunā hai aap ne na.ī gaaḌī
ḳharīd lī
jī haañ mercedes hai
allāh ke fazl se
green card holder bhī haiñ
magar aap kā vo communism
aap to ḳhāse radical the
shukr bāri-e-ta.ālā kā
jis ne añdheroñ meñ
raushnī dikhā.ī
allāh baḌā bādshāh hai
los angeles ke posh qabristān meñ
jagah book karā dī hai
aap kā kyā irāda hai
fitna-o-fasād se
najāt milī hai na milegī
kyā aap ko visa bhijvā.eñ
peshkash kā shukriya
magar apne desī qabristān jaisī
taaza havā.eñ america meñ kahāñ
aur phir apne yahāñ bōking kī
bhī zarūrat nahīñ
maiñ to kahtā huuñ qibla
aap bhī yahīñ ruk jaa.eñ
umr kī āḳhirī kagār par khaḌe haiñ
maiñ nahīñ samajhtā ki bulāvā aane meñ
koī der hogī
qīl-o-qāl se kaam na leñ
ek dūsre kā haath thaam leñ
qabristān kī harī-bharī fazāoñ meñ
ḳhuub guzregī
jo mil baiTheñge
dīvāne do
aadab aadab
taslimat taslimat
mizaj-e-aqdas
fazl-e-rabbi hai
namazen paDhte hain
faraghaton se Darte hain
allah KHair-o-barkat de
suna hai aap ne nai gaDi
KHarid li
ji han mercedes hai
allah ke fazl se
green card holder bhi hain
magar aap ka wo communism
aap to KHase radical the
shukr bari-e-taala ka
jis ne andheron mein
raushni dikhai
allah baDa baadshah hai
los angeles ke posh qabristan mein
jagah book kara di hai
aap ka kya irada hai
fitna-o-fasad se
najat mili hai na milegi
kya aap ko wisa bhijwaen
peshkash ka shukriya
magar apne desi qabristan jaisi
taza hawaen america mein kahan
aur phir apne yahan booking ki
bhi zarurat nahin
main to kahta hun qibla
aap bhi yahin ruk jaen
umr ki aaKHiri kagar par khaDe hain
main nahin samajhta ki bulawa aane mein
koi der hogi
qil-o-qal se kaam na len
ek dusre ka hath tham len
qabristan ki hari-bhari fazaon mein
KHub guzregi
jo mil baiThenge
diwane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.