kitāboñ meñ likhī
muāshartī be-hisī kī lā-zavāl kahāniyoñ se nā-āshnā
jab koī laḌkī
apne āshnā ke saath bhaag jaatī hai
to ilāqe ke thāne meñ rakhī huī kitāb
ek kahānī ko janam detī hai
jis kī varaq-gardānī karte hue
kitne hī rāshī afsar muattal ho chuke haiñ
lekin aaj bhī
jumā ke ḳhutbe se pahle
ilāqe kā maulvī
sa.ādat-hasan-manTo ko gaalī denā nahīñ bhūltā
kitabon mein likhi
muasharti be-hisi ki la-zawal kahaniyon se na-ashna
jab koi laDki
apne aashna ke sath bhag jati hai
to ilaqe ke thane mein rakhi hui kitab
ek kahani ko janam deti hai
jis ki waraq-gardani karte hue
kitne hi rashi afsar muattal ho chuke hain
lekin aaj bhi
juma ke KHutbe se pahle
ilaqe ka maulwi
saadat-hasan-manTo ko gali dena nahin bhulta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.