mulaqat
Interesting Fact
Poem titled 'Mulaqat' penned by the progressive poet Habib Jalib while his family was having a tough time making ends meet when he was put behind bars for his anti-government activities.
jo ho na sakī baat vo chehroñ se ayaañ thī
hālāt kā mātam thā mulāqāt kahāñ thī
us ne na Thaharne diyā pahroñ mire dil ko
jo terī nigāhoñ meñ shikāyat mirī jaañ thī
ghar meñ bhī kahāñ chain se so.e the kabhī ham
jo raat hai zindāñ meñ vahī raat vahāñ thī
yaksāñ haiñ mirī jaan qafas aur nasheman
insān kī tauqīr yahāñ hai na vahāñ thī
shāhoñ se jo kuchh rabt na qaa.em huā apnā
aadat kā bhī kuchh jabr thā kuchh apnī zabāñ thī
sayyād ne yūñhī to qafas meñ nahīñ Daalā
mash.hūr gulistāñ meñ bahut merī fuġhāñ thī
tū ek haqīqat hai mirī jaañ mirī hamdam
jo thī mirī ġhazloñ meñ vo ik vahm-o-gumāñ thī
mahsūs kiyā maiñ ne tire ġham se ġham-e-dahr
varna mire ash.ār meñ ye baat kahāñ thī
jo ho na saki baat wo chehron se ayan thi
haalat ka matam tha mulaqat kahan thi
us ne na Thaharne diya pahron mere dil ko
jo teri nigahon mein shikayat meri jaan thi
ghar mein bhi kahan chain se soe the kabhi hum
jo raat hai zindan mein wahi raat wahan thi
yaksan hain meri jaan qafas aur nasheman
insan ki tauqir yahan hai na wahan thi
shahon se jo kuchh rabt na qaem hua apna
aadat ka bhi kuchh jabr tha kuchh apni zaban thi
sayyaad ne yunhi to qafas mein nahin Dala
mashhur gulistan mein bahut meri fughan thi
tu ek haqiqat hai meri jaan meri hamdam
jo thi meri ghazlon mein wo ek wahm-o-guman thi
mahsus kiya main ne tere gham se gham-e-dahr
warna mere ashaar mein ye baat kahan thi
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 285)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.