mulaqat
kitnī mushkil hai abhī apnī mulāqāt sanam
jaan le legī ye be-vaqt kī barsāt sanam
terī tasvīr mire zehn pe jab chhātī hai
zinda rahtā huuñ magar jaan nikal jaatī hai
zahar piitā huuñ tirī yaad meñ din raat sanam
kitnī mushkil hai abhī apnī mulāqāt sanam
vo bhī kyā din the kiyā karte the mil kar bāteñ
rañg aur nuur meñ kaTtī thiiñ hamārī rāteñ
jaane kyuuñ ruuTh ga.e ham se vo hālāt sanam
kitnī mushkil hai abhī apnī mulāqāt sanam
kitni mushkil hai abhi apni mulaqat sanam
jaan le legi ye be-waqt ki barsat sanam
teri taswir mere zehn pe jab chhati hai
zinda rahta hun magar jaan nikal jati hai
zahar pita hun teri yaad mein din raat sanam
kitni mushkil hai abhi apni mulaqat sanam
wo bhi kya din the kiya karte the mil kar baaten
rang aur nur mein kaTti thin hamari raaten
jaane kyun ruTh gae hum se wo haalat sanam
kitni mushkil hai abhi apni mulaqat sanam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.