mulaqat
maiñ āftāb pī gayā huuñ
saañs aur baḌh ga.ī hai
tishnagī hī tishnagī
tū sar-zamīn-e-itr-o-nūr se utar ke
āftāb ban ke aa ga.ī
bilor kā jahāz
abr se pare
ravāñ ravāñ
idhar añdherī raat hai
shafaq kī teġh-e-surḳh us taraf
tamām āsmāñ
shahāb hī shahāb hai
gulāl hī gulāl hai
sitāra ham-nashīñ hai
maah ham-nafas hai
sāz-e-jāñ-navāz saath hai
gurez-pā safar kā
ek ek pal hai
jāvedāñ
ilāhī ye safar kabhī na ḳhatm ho
Brief Meeting
main aaftab pi gaya hun
sans aur baDh gai hai
tishnagi hi tishnagi
tu sar-zamin-e-itr-o-nur se utar ke
aaftab ban ke aa gai
bilor ka jahaz
abr se pare
rawan rawan
idhar andheri raat hai
shafaq ki tegh-e-surKH us taraf
tamam aasman
shahab hi shahab hai
gulal hi gulal hai
sitara ham-nashin hai
mah ham-nafas hai
saz-e-jaan-nawaz sath hai
gurez-pa safar ka
ek ek pal hai
jawedan
ilahi ye safar kabhi na KHatm ho
Brief Meeting
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 236)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.