mulaqat meri
1
saarī dīvār siyah ho ga.ī tā-halqa-e-dām
rāste bujh ga.e ruḳhsat hue rahgīr tamām
apnī tanhā.ī se goyā huī phir raat mirī
ho na ho aaj phir aa.ī hai mulāqāt mirī
ik hathelī pe hinā ek hathelī pe lahū
ik nazar zahr liye ek nazar meñ daarū
der se manzil-e-dil meñ koī aayā na gayā
furqat-e-dard meñ be-āb huā taḳhta-e-dāġh
kis se kahiye ki bhare rañg se zaḳhmoñ ke ayāġh
aur phir ḳhud hī chalī aa.ī mulāqāt mirī
āshnā maut jo dushman bhī hai ġham-ḳhvār bhī hai
vo jo ham logoñ kī qātil bhī hai dildār bhī hai
1
sari diwar siyah ho gai ta-halqa-e-dam
raste bujh gae ruKHsat hue rahgir tamam
apni tanhai se goya hui phir raat meri
ho na ho aaj phir aai hai mulaqat meri
ek hatheli pe hina ek hatheli pe lahu
ek nazar zahr liye ek nazar mein daru
der se manzil-e-dil mein koi aaya na gaya
furqat-e-dard mein be-ab hua taKHta-e-dagh
kis se kahiye ki bhare rang se zaKHmon ke ayagh
aur phir KHud hi chali aai mulaqat meri
aashna maut jo dushman bhi hai gham-KHwar bhi hai
wo jo hum logon ki qatil bhi hai dildar bhi hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 348)
- Author : Faiz Ahmad Faiz
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.