mulaqaten nahin phir bhi mulaqaten
subū TuuTe
mohabbat kī namāzoñ meñ
vazū TuuTe
duā roī
duā ke āsmānoñ par
ka.ī chashmān o lab ro.e
kabhī koī sabab rone kā niklā hai
magar ham be-sabab ro.e
zamīnoñ aur zamānoñ kī ajab
rañjū gardish meñ
havā ke āstāne par
jhukā.e sar pashīmāñ be-zabāñ
tanhā.iyoñ ke qāfile utre
vahī ham the
mujassam bandagī zaḳhmī tamāshe ke nishāne par
kabhī sahme hue ḳhvāhish kī
retīlī fazāoñ meñ
tumheñ dekhā tumheñ chāhā
kabhī mausam-e-farāmoshī ke narġhe meñ
udāsī kī fasīloñ par
azān-e-ḳhud-kalāmī dī
tumhāre fāsloñ ko apnī mahrūmī kī ḳhalvat meñ
biThāyā bām-o-dar ko
ajnabiyat ke sitāroñ se sajāyā
vahī ham the
hamārī baat ke raqs-e-junūñ meñ
kho diyā tum ko
vahī tum the
vidā-e-lamha-e-ta.ajīl kī ḳhātir
thake TuuTe hue aa kar lipaT jaane
kī ḳhvāhish meñ
bikharte apnī āñkhoñ ke muqaddas motiyoñ meñ
lamha-e-āḳhir guzar jaane kī dhun meñ
umr-bhar ḳhud se gurezāñ rah ga.e
ham tum hijāb-e-nā-shanāsā.ī ke
mujrim ban ga.e
har fāsla kitne adhūre fāsloñ kā
isti.āra hai
samundar dekh terī āstīnoñ meñ
fuġhāñ kartā kināra hai
mulāqāteñ, nahīñ phir bhī mulāqāteñ
mulāqātoñ kī kuchh ummīd baaqī rah na jaa.e
ashk kā ik āḳhirī qatra bhī
yūñhī bah na jaa.e
subu TuTe
mohabbat ki namazon mein
wazu TuTe
dua roi
dua ke aasmanon par
kai chashman o lab roe
kabhi koi sabab rone ka nikla hai
magar hum be-sabab roe
zaminon aur zamanon ki ajab
ranju gardish mein
hawa ke aastane par
jhukae sar pashiman be-zaban
tanhaiyon ke qafile utre
wahi hum the
mujassam bandagi zaKHmi tamashe ke nishane par
kabhi sahme hue KHwahish ki
retili fazaon mein
tumhein dekha tumhein chaha
kabhi mausam-e-faramoshi ke narghe mein
udasi ki fasilon par
azan-e-KHud-kalami di
tumhaare faslon ko apni mahrumi ki KHalwat mein
biThaya baam-o-dar ko
ajnabiyat ke sitaron se sajaya
wahi hum the
hamari baat ke raqs-e-junun mein
kho diya tum ko
wahi tum the
wida-e-lamha-e-tajil ki KHatir
thake TuTe hue aa kar lipaT jaane
ki KHwahish mein
bikharte apni aankhon ke muqaddas motiyon mein
lamha-e-aKHir guzar jaane ki dhun mein
umr-bhar KHud se gurezan rah gae
hum tum hijab-e-na-shanasai ke
mujrim ban gae
har fasla kitne adhure faslon ka
istiara hai
samundar dekh teri aastinon mein
fughan karta kinara hai
mulaqaten, nahin phir bhi mulaqaten
mulaqaton ki kuchh ummid baqi rah na jae
ashk ka ek aaKHiri qatra bhi
yunhi bah na jae
- Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.