mulamma ki anguThi
chāñdī kī añgūThī pe jo sone kā chaḌhā jhol
ochhī thī lagī bolne itrā ke baḌā bol
ai dekhne vaalo tumhī insāf se kahnā
chāñdī kī añgūThī bhī hai kuchh gahnoñ meñ gahnā
chāñdī kī añgūThī ke na maiñ saath rahūñgī
vo aur hai maiñ aur ye zillat na sahūñgī
maiñ qaum kī ūñchī huuñ baḌā merā gharānā
vo zaat kī ghaTiyā hai nahīñ us kā Thikānā
merī sī kahāñ chāshnī merā sā kahāñ rañg
vo mol meñ aur tol meñ mere nahīñ pāssañg
merī sī chamak us meñ na merī sī damak hai
chāñdī hai ki hai raañg mujhe is meñ bhī shak hai
ye sunte hī chāñdī kī añgūThī bhī ga.ī jal
allāh-re mulamme kī añgūThī tere chhal-bal
sone kī mulamme pe na itrā merī pyārī
do din meñ bhaḌak us kī utar jā.egī saarī
kuchh der haqīqat ko chhupāyā bhī to phir kyā
jhūToñ ne jo sachchoñ ko chaḌhāyā bhī to phir kyā
mat bhuul kabhī asal tū apnī arī ahmaq
jab taav diyā jā.egā ho jā.egā muñh faq
sachche kī to izzat hī baḌhegī jo kareñ jāñch
mash.hūr masal hai ki nahīñ sāñch ko kuchh aañch
khone ko kharā ban ke nikharnā nahīñ achchhā
chhoTe ko baḌā ban ke ubharnā nahīñ achchhā
chandi ki anguThi pe jo sone ka chaDha jhol
ochhi thi lagi bolne itra ke baDa bol
ai dekhne walo tumhi insaf se kahna
chandi ki anguThi bhi hai kuchh gahnon mein gahna
chandi ki anguThi ke na main sath rahungi
wo aur hai main aur ye zillat na sahungi
main qaum ki unchi hun baDa mera gharana
wo zat ki ghaTiya hai nahin us ka Thikana
meri si kahan chashni mera sa kahan rang
wo mol mein aur tol mein mere nahin passang
meri si chamak us mein na meri si damak hai
chandi hai ki hai rang mujhe is mein bhi shak hai
ye sunte hi chandi ki anguThi bhi gai jal
allah-re mulamme ki anguThi tere chhal-bal
sone ki mulamme pe na itra meri pyari
do din mein bhaDak us ki utar jaegi sari
kuchh der haqiqat ko chhupaya bhi to phir kya
jhuTon ne jo sachchon ko chaDhaya bhi to phir kya
mat bhul kabhi asal tu apni ari ahmaq
jab taw diya jaega ho jaega munh faq
sachche ki to izzat hi baDhegi jo karen jaanch
mashhur masal hai ki nahin sanch ko kuchh aanch
khone ko khara ban ke nikharna nahin achchha
chhoTe ko baDa ban ke ubharna nahin achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.