mumbai ki ek raat
Interesting Fact
(Dedicated to Baqar Mehdi and Nida Fazli)
chakā-chauñdh
hairat-zada
raushniyoñ ke is shahr meñ
chand tārīk lamhoñ kī ḳhātir
bhaTaktā rahā huuñ
khule bāzuoñ ubhre sīnoñ
khulī pinḌliyoñ
nīm-uryāñ libāsoñ meñ
jakḌe hue jism kī ḳhushbuoñ se
maiñ ghabrā uThā huuñ
chīḳhte pattharoñ
sansanātī havāoñ
samundar kī lahroñ se bhī Dar gayā huuñ
ik ūñchī imārat ke
ik tañg kamre se uktā ke
caroñ basoñ Taxiyoñ se bachtā huā
laal piilī harī battiyoñ ke
ishāroñ pe chal kar
kitāboñ kī dūkān par aa gayā huuñ
kitābeñ risāle tasāvīr
be-ma.anī bahseñ
hañsī qahqahe shā.irī
chaa.e cigarette 'bāqar' 'nidā'
mai-kada
malgajī raat
fōtpath
har ajnabī se maiñ apnā pata pūchhtā huuñ
chaka-chaundh
hairat-zada
raushniyon ke is shahr mein
chand tarik lamhon ki KHatir
bhaTakta raha hun
khule bazuon ubhre sinon
khuli pinDliyon
nim-uryan libason mein
jakDe hue jism ki KHushbuon se
main ghabra uTha hun
chiKHte pattharon
sansanati hawaon
samundar ki lahron se bhi Dar gaya hun
ek unchi imarat ke
ek tang kamre se ukta ke
caron bason Taxiyon se bachta hua
lal pili hari battiyon ke
ishaaron pe chal kar
kitabon ki dukan par aa gaya hun
kitaben risale tasawir
be-mani bahsen
hansi qahqahe shairi
chae cigarette 'baqar' 'nida'
mai-kada
malgaji raat
footpath
har ajnabi se main apna pata puchhta hun
- Book : Kahein Kuch Nahein Hota (Pg. 61)
- Author : Shahid Mahuli
- Publication : Miaar Publications (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.