mumtaz
qasr-e-shāhī se ye hukm sādir huā lāḌkāne chalo
varna thāne chalo
apne hoñToñ kī ḳhushbū luTāne chalo giit gaane chalo
varna thāne chalo
muntazir haiñ tumhāre shikārī vahāñ kaif kā hai samāñ
apne jalvaoñ se mahfil sajāne chalo muskurāne chalo
varna thāne chalo
hākimoñ ko bahut tum pasand aa.ī ho zehn par chhā.ī ho
jism kī lau se sham.eñ jalāne chalo, ġham bhulāne chalo
varna thāne chalo
qasr-e-shahi se ye hukm sadir hua laDkane chalo
warna thane chalo
apne honTon ki KHushbu luTane chalo git gane chalo
warna thane chalo
muntazir hain tumhaare shikari wahan kaif ka hai saman
apne jalwaon se mahfil sajaane chalo muskurane chalo
warna thane chalo
hakimon ko bahut tum pasand aai ho zehn par chhai ho
jism ki lau se shamen jalane chalo, gham bhulane chalo
warna thane chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.