munajat
ḳhudāvandā!
tirī iqlīm meñ rahte hue ik umr guzrī hai
magar ab tak tarīq-e-bandagī mujh ko nahīñ aayā
mire jazboñ ne ab tak jazb ke ma.anī nahīñ sīkhe
abhī tak ḳhvāhishoñ ke paas dil ko rehn rakkhā hai
abhī tak nīm-shab kī sā.atoñ kī barkateñ mujh par nahīñ utrīñ
mirī āñkhoñ meñ terī raushnī ke ḳhadd-o-ḳhāl ab tak nahīñ ubhre
mirī āñkheñ abhī tak be-basar haiñ
aur sitam ye hai
basīrat ke darīche vā nahīñ hote
ḳhudā-e-lam-yazal
tujh ko zavāl-e-ādamiyyat kī qasam
mujh se mirī ye bebasī le le
tujhe to ye ḳhabar hai
is jabīn-e-shauq meñ sajde taḌapte haiñ
magar maiñ rāñda-e-dargāh jab sajde meñ jaatā huuñ
to apnī tavajjoh
sahn ke mahfūz kone meñ rakhī jūtiyoñ meñ chhoḌ aatā huuñ
KHudawanda!
teri iqlim mein rahte hue ek umr guzri hai
magar ab tak tariq-e-bandagi mujh ko nahin aaya
mere jazbon ne ab tak jazb ke mani nahin sikhe
abhi tak KHwahishon ke pas dil ko rehn rakkha hai
abhi tak nim-shab ki saaton ki barkaten mujh par nahin utrin
meri aankhon mein teri raushni ke KHadd-o-KHal ab tak nahin ubhre
meri aankhen abhi tak be-basar hain
aur sitam ye hai
basirat ke dariche wa nahin hote
KHuda-e-lam-yazal
tujh ko zawal-e-adamiyyat ki qasam
mujh se meri ye bebasi le le
tujhe to ye KHabar hai
is jabin-e-shauq mein sajde taDapte hain
magar main randa-e-dargah jab sajde mein jata hun
to apni tawajjoh
sahn ke mahfuz kone mein rakhi jutiyon mein chhoD aata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.