munkir-e-haq
ik āvāz ubhartī aa rahī hai
dūdhiyā sī raushnī ik
parda-e-bīnā.ī se ho kar guzartī guzartī jā rahī hai
salb hotī jā rahī hai
quvvat-e-inkār bhī
iqrār bhī
kuchh ho rahā hai yā kahūñ kuchh hai
nahīñ ma.alūm kyā hai aur kyuuñ kuchh hai
ik amboh-e-farāvāñ
jauq-andar-jauq sab afrād
iqrā kī taraf jaate hue
aur maiñ udhar ġhār-e-hirā kī
chuhl-sāla ḳhāmushī meñ
mahv hotā jā rahā huuñ
ek 'hai' aur is qadar maujūd
lā-maujūd bhī 'hai' aur maiñ
ab us ko ḳhudā meñ qaid kar ke
munkir-e-haq ho rahā huuñ
indar andar ro rahā huuñ
ek aawaz ubharti aa rahi hai
dudhiya si raushni ek
parda-e-binai se ho kar guzarti guzarti ja rahi hai
salb hoti ja rahi hai
quwwat-e-inkar bhi
iqrar bhi
kuchh ho raha hai ya kahun kuchh hai
nahin malum kya hai aur kyun kuchh hai
ek amboh-e-farawan
jauq-andar-jauq sab afrad
iqra ki taraf jate hue
aur main udhar ghaar-e-hira ki
chuhl-sala KHamushi mein
mahw hota ja raha hun
ek 'hai' aur is qadar maujud
la-maujud bhi 'hai' aur main
ab us ko KHuda mein qaid kar ke
munkir-e-haq ho raha hun
indar andar ro raha hun
- Book : Na Mau'ud (Pg. 74)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.