Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

munna chala panw panw

Raza Ali Abidi

munna chala panw panw

Raza Ali Abidi

MORE BYRaza Ali Abidi

    munnā chalā paañv paañv

    bādaloñ chhāñv chhāñv

    uñglī chhoḌ ke bhāgā

    ammī dil shaad huā

    dhuum machā.eñ baabā

    munnā chalā paañv paañv

    nanhe nanhe pair uThā.e

    chalte chalte Dolā jaa.e

    ik pal sañbhle ik pal jhūme

    chalne se par baaz na aa.e

    munnā chalā paañv paañv

    girne se vo na ghabrā.e

    chalne se vo na sharmā.e

    kahte haiñ aisā bachcha

    ik din apnī manzil paa.e

    munnā chalā paañv paañv

    bādaloñ chhāñv chhāñv

    uñglī chhoḌ ke bhāgā

    ammī dil shaad huā

    dhuum machā.eñ baabā

    munnā chalā paañv paañv

    munna chala panw panw

    baadalon ki chhanw chhanw

    ungli chhoD ke bhaga

    ammi ka dil shad hua

    dhum machaen baba

    munna chala panw panw

    nanhe nanhe pair uThae

    chalte chalte Dola jae

    ek pal sanbhle ek pal jhume

    chalne se par baz na aae

    munna chala panw panw

    girne se wo na ghabrae

    chalne se wo na sharmae

    kahte hain aisa hi bachcha

    ek din apni manzil pae

    munna chala panw panw

    baadalon ki chhanw chhanw

    ungli chhoD ke bhaga

    ammi ka dil shad hua

    dhum machaen baba

    munna chala panw panw

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now