munne ki naw
daadī ke paas aa ke munne lagā ye kahne
dekho to pyārī daadī kyā hai banāyā maiñ ne
kāġhaz vo reshmīñ jo tum ne diyā thā daadī
ye dekho maiñ is kī ik naav hai banā dī
lekin batāo mujh ko kaise ise chalā.ūñ
tālāb yā nadī yā naala kahāñ se lā.ūñ
hañs kar ye bolīñ daadī Thahro zarā sā beTā
laao kitchen se jā kar tasla jo hai baḌā sā
tasle meñ bhar ke paanī munne se bolīñ daadī
lo dekh lo ghar meñ maiñ ne nadī banā dī
chhoTī sī is nadī meñ naav jo chal rahī thī
munne bhī hañs rahā thā munnī bhī hañs rahī thī
daadī bhī thiiñ bahut ḳhush bachchoñ kī is ḳhushī se
detī thiiñ vo duā.eñ bachchoñ ko jān-o-jī se
dadi ke pas aa ke munne laga ye kahne
dekho to pyari dadi kya hai banaya main ne
kaghaz wo reshmin jo tum ne diya tha dadi
ye dekho main is ki ek naw hai bana di
lekin batao mujh ko kaise ise chalaun
talab ya nadi ya nala kahan se laun
hans kar ye bolin dadi Thahro zara sa beTa
lao kitchen se ja kar tasla jo hai baDa sa
tasle mein bhar ke pani munne se bolin dadi
lo dekh lo ghar mein main ne nadi bana di
chhoTi si is nadi mein naw jo chal rahi thi
munne bhi hans raha tha munni bhi hans rahi thi
dadi bhi thin bahut KHush bachchon ki is KHushi se
deti thin wo duaen bachchon ko jaan-o-ji se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.