muntazir
jab kabhī maiñ udaas hotī huuñ
ik hujūm āñsuoñ kā palkoñ par
muntazir izn ko taḌpātā hai
kyā karūñ maiñ samajh nahīñ aatā
kis tarah se tumhārī yādoñ ko
sūrat-e-ashk meñ bahā Dālūñ
kyā kahūñ ik ghuTan kā aalam hai
maiñ huuñ tanhā.ī aur tirī yādeñ
har ghaḌī dil ko aarzū hai yahī
jo abhī tak nahīñ huā jānāñ
kaash aisā kabhī to ho jaa.e
yaad aa.e na terī us se qabl
tū mire sāmne chalā aa.e
jab kabhi main udas hoti hun
ek hujum aansuon ka palkon par
muntazir izn ko taDpata hai
kya karun main samajh nahin aata
kis tarah se tumhaari yaadon ko
surat-e-ashk mein baha Dalun
kya kahun ek ghuTan ka aalam hai
main hun tanhai aur teri yaaden
har ghaDi dil ko aarzu hai yahi
jo abhi tak nahin hua jaanan
kash aisa kabhi to ho jae
yaad aae na teri us se qabl
tu mere samne chala aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.