malbūs pahne raat apnā zar-nigār
zer-e-jāma taaz meñ laTkā huā
us kā siyāh
sho.ale ugalte nāliyoñ ke dā.ere, faulād ke
jannat se dhutkārī huī aulād ke
rātoñ ko chalte kārvāñ
mismār shahroñ kā dhuāñ
ahmarīñ sayyāl se chhilke hue
bāġhoñ ke hauz
''naffat'' ke sho.ale zamīñ par pheñkte haiñ
''rās-chakkar'' ke burūj
ghaas ke jhulse hue maidān meñ
ik kamar tak barhana
lañgoT bāñdhe pahalvāñ
kheltā hai dāv-pech
ek nā-paidā adū se
nahīñ kartā jo us kā sāmnā
malbus pahne raat apna zar-nigar
zer-e-jama taz mein laTka hua
us ka siyah
shoale ugalte naliyon ke daere, faulad ke
jannat se dhutkari hui aulad ke
raaton ko chalte karwan
mismar shahron ka dhuan
ahmarin sayyal se chhilke hue
baghon ke hauz
naffat ke shoale zamin par phenkte hain
ras-chakkar ke buruj
ghas ke jhulse hue maidan mein
ek kamar tak barhana
langoT bandhe pahalwan
khelta hai daw-pech
ek na-paida adu se
nahin karta jo us ka samna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.