murajaat
maiñ apne jism ke bāhar khaḌā huuñ
in āñkhoñ ke darīche se to ab
baseñ saḌkeñ miloñ kī chimniyāñ
municipality kā vo nal koḌhī bhikārī
dhanī-mal kā bahut ūñchā makāñ
kuchh bhī nazar aatā nahīñ
ab in āñkhoñ meñ merī
hazāroñ enginoñ kā shor hai
kaalā dhuāñ hai
magar dil ko lubhātā hai abhī tak
nīl-gūñ duurī kā manzar
chāñd taare āsmāñ
dekhne kī ḳhvāhisheñ
jāgtī haiñ
mashīnī haath mujh ko DhūñDte haiñ
maiñ apne jism ke bāhar khaḌā huuñ
main apne jism ke bahar khaDa hun
in aankhon ke dariche se to ab
basen saDken milon ki chimniyan
municipality ka wo nal koDhi bhikari
dhani-mal ka bahut uncha makan
kuchh bhi nazar aata nahin
ab in aankhon mein meri
hazaron enginon ka shor hai
kala dhuan hai
magar dil ko lubhata hai abhi tak
nil-gun duri ka manzar
chand tare aasman
dekhne ki KHwahishen
jagti hain
mashini hath mujh ko DhunDte hain
main apne jism ke bahar khaDa hun
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 237)
- Author : NCPUL, New Delhi
- Publication : Khalilur Rahman Azmi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.