murajiat
shahroñ ke shaffāf badan aur tahzīboñ ke sīnoñ par
niilī barā meñ lipTī mutamaddin chhātiyoñ meñ
jitnī kashish hai utnā duudh nahīñ hai
chāñd rañg Dhalvānoñ par
insānoñ ke āñsuoñ kā ek bhī qatra
Thahar nahīñ saktā hai aa kar
to phir ham sab kyuuñ na chal kar
sahrā meñ hī rahā kareñ ab
shahron ke shaffaf badan aur tahzibon ke sinon par
nili bara mein lipTi mutamaddin chhatiyon mein
jitni kashish hai utna dudh nahin hai
chand rang Dhalwanon par
insanon ke aansuon ka ek bhi qatra
Thahar nahin sakta hai aa kar
to phir hum sab kyun na chal kar
sahra mein hi raha karen ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.