murda logon ki taswiri numaish
jab masjidoñ aur imām-bārgāhoñ meñ
naqab lagā.ī jaatī thī
to ka.ī be-rañg dā.ere savāliya nishān liye
hamāre rāste meñ aa khaḌe hote
ki kalīsāoñ aur mandiroñ kā nizām kaun se ḳhudā ke paas hai
jo amn kī fāḳhtāoñ ko
ibādat-gāh ke raushan-dānoñ meñ bhej detā hai
isī savāl meñ javābī rañg bharne ke liye
ham ne lahhū ko bārūd meñ ghol kar insāniyat kā bharam gañvā liyā
ab kisī bhī naam kā jañgal pukāre
maut par phailā ke nāchtī hai
aur ham duā.iyā hāthoñ meñ qabr khodne ke liye
zamīn DhūñDte hue
apne jismoñ meñ dafn ḳhairātī sāñsoñ pe paltī
zindagī ke gaz nāpte haiñ
ham siyāh laboñ se niklī hui bad-duāoñ kā
vaqt-e-qubūliyat haiñ
isī liye to nishāna-bāz maut hameñ
ibādat-gāhoñ meñ bhī DhūñDh letī hai
ham muTThī bhar log tumhāre TukḌoñ pe palne aa ga.e
to tumhārī ta.affun ugaltī galiyoñ ne
rozgār pe lagā diyā
rizq to kūḌā-karkaT ke Dher se bhī mil jaatā hai
magar vo udhḌe hue adh-jale jism
kahāñ talāsh kareñ
jo ḳhudā se muzākarāt karne ga.e the
aur TukḌoñ kī sūrat kalīsāoñ kī saffāk dīvāroñ pe
chaspāñ kar diye ga.e
aur ham jahannam-rasīda log al-vidā.ī shaam kī
ḳhaak phāñkne aa.e haiñ
ki sunā thā shahar meñ phir se
bikhre hue chehroñ kī numā.ish hai
jab masjidon aur imam-bargahon mein
naqab lagai jati thi
to kai be-rang daere sawaliya nishan liye
hamare raste mein aa khaDe hote
ki kalisaon aur mandiron ka nizam kaun se KHuda ke pas hai
jo amn ki faKHtaon ko
ibaadat-gah ke raushan-danon mein bhej deta hai
isi sawal mein jawabi rang bharne ke liye
hum ne lahhu ko barud mein ghol kar insaniyat ka bharam ganwa liya
ab kisi bhi nam ka jangal pukare
maut par phaila ke nachti hai
aur hum duaiya hathon mein qabr khodne ke liye
zamin DhunDte hue
apne jismon mein dafn KHairaati sanson pe palti
zindagi ke gaz napte hain
hum siyah labon se nikli hui bad-duaon ka
waqt-e-qubuliyat hain
isi liye to nishana-baz maut hamein
ibaadat-gahon mein bhi DhunDh leti hai
hum muTThi bhar log tumhaare TukDon pe palne aa gae
to tumhaari taffun ugalti galiyon ne
rozgar pe laga diya
rizq to kuDa-karkaT ke Dher se bhi mil jata hai
magar wo udhDe hue adh-jale jism
kahan talash karen
jo KHuda se muzakaraat karne gae the
aur TukDon ki surat kalisaon ki saffak diwaron pe
chaspan kar diye gae
aur hum jahannam-rasida log al-widai sham ki
KHak phankne aae hain
ki suna tha shahar mein phir se
bikhre hue chehron ki numaish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.