murghe ne jhuT bola
murġhe ne jhuuT bolā
murġhe kī chuuñ chuuñ ho ga.ī
bakrī ne jhuuT bolā
bakrī kī puuñ puuñ ho ga.ī
mathurā meñ tiin bandar
jaate the roz mandar
kahtā jo baat pujārī
rakhte vo yaad saarī
burā kabhī na dekho
burā kabhī na bolo
baat jahāñ ho burī
kaan vahāñ na kholo
jis ne burā.ī sīkhī
us kī to yuuñ yuuñ ho ga.ī
dillī kā ek kavvā
chiḌiyā se ik din bolā
aao pakā.eñ khichḌī
mil-jul ke khā.eñ khichḌī
chāval kā daanā merā
muuñg kā daanā terā
lene gayā vo paanī
chiḌiyā thī chor kī naanī
chupke se khā ke daanā
chakkī meñ kiyā Thikānā
kavve ne chakkī piisī
aa.ī āvāz sī sī
chiḌiyā ne chorī kī thī
chiḌiyā kī suuñ suuñ ho ga.ī
murġhe ne jhuuT bolā
murġhe kī chuuñ chuuñ ho ga.ī
bakrī ne jhuuT bolā
bakrī kī puuñ puuñ ho ga.ī
murghe ne jhuT bola
murghe ki chun chun ho gai
bakri ne jhuT bola
bakri ki pun pun ho gai
mathura mein tin bandar
jate the roz mandar
kahta jo baat pujari
rakhte wo yaad sari
bura kabhi na dekho
bura kabhi na bolo
baat jahan ho buri
kan wahan na kholo
jis ne burai sikhi
us ki to yun yun ho gai
dilli ka ek kawwa
chiDiya se ek din bola
aao pakaen khichDi
mil-jul ke khaen khichDi
chawal ka dana mera
mung ka dana tera
lene gaya wo pani
chiDiya thi chor ki nani
chupke se kha ke dana
chakki mein kiya Thikana
kawwe ne chakki pisi
aai aawaz si si
chiDiya ne chori ki thi
chiDiya ki sun sun ho gai
murghe ne jhuT bola
murghe ki chun chun ho gai
bakri ne jhuT bola
bakri ki pun pun ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.