musafir
musāfir yūñhī giit gaa.e chalā jā
sar-e-rahguzar kuchh sunā.e chalā jā
tirī zindagī soz-o-sāz-e-mohabbat
hañsā.e chalā jā rulā.e chalā jā
tire zamzame haiñ ḳhunuk bhī tapāñ bhī
lagā.e chalā jā bujhā.e chalā jā
koī laakh roke koī laakh Toke
qadam apne aage baḌhā.e chalā jā
hasīñ bhī tujhe rāste meñ mileñge
nazar mat milā muskurā.e chalā jā
mohabbat ke naqshe tamannā ke ḳhāke
banā.e chalā jā miTā.e chalā jā
qadāmat hadeñ khīñchtī hī rahegī
qadāmat kī buniyād Dhaa.e chalā jā
qasam shauq kī fitrat-e-muztarib kī
yūñhī nit-na.ī dhun meñ gaa.e chalā jā
jo parcham uThā hī liyā sar-kashī kaa!
use āsmāñ tak uḌaa.e chalā jā
musafir yunhi git gae chala ja
sar-e-rahguzar kuchh sunae chala ja
teri zindagi soz-o-saz-e-mohabbat
hansae chala ja rulae chala ja
tere zamzame hain KHunuk bhi tapan bhi
lagae chala ja bujhae chala ja
koi lakh roke koi lakh Toke
qadam apne aage baDhae chala ja
hasin bhi tujhe raste mein milenge
nazar mat mila muskurae chala ja
mohabbat ke naqshe tamanna ke KHake
banae chala ja miTae chala ja
qadamat haden khinchti hi rahegi
qadamat ki buniyaad Dhae chala ja
qasam shauq ki fitrat-e-muztarib ki
yunhi nit-nai dhun mein gae chala ja
jo parcham uTha hi liya sar-kashi ka!
use aasman tak uDae chala ja
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.