musafir-e-shab
sukūt-e-shab kī hai jalva-faroshī
hai maujūdāt par chhā.ī ḳhamoshī
fazā-e-shām ko niiñd aa rahī hai
manāzir par siyāhī chhā rahī hai
hai badlā rañg din ke shor-o-shar kā
huā tārīkiyoñ kā daur-daurā
rukā hañgāma-hā-e-din kā mahshar
baḌhā shab kā sakūñ-bar-dosh manzar
hai āḳhir roz-e-raushan kī kahānī
huī tārīk burd-e-āsmānī
gayā rāhat-kade meñ mahr-e-tābāñ
hue anvār ātish-bār-e-pinhāñ
hai tārīkī payām-e-ḳhvāb-noshīñ
ḳhamoshī hai naved-e-rañg-e-taskīñ
faza-e-ġharb hai paiġhām-e-rāhat
ufaq kī ḳhāmushī ilhām-e-rāhat
hai rañgīnī fazā kī kaif ishrat
shafaq kī surḳhiyāñ sāmān-e-farhat
havāoñ meñ bhare haiñ naġhma-e-shab
hai rāhat-zā rabāb-e-zaḳhm-e-shab
huā raushan nigār-e-shab kā jalva
haiñ tanvīreñ falak par kār-farmā
sitāroñ kī tabassum-bāriyoñ meñ
kavākib kī munavvar dhāriyoñ meñ
sutūr-e-kahkashāñ kī laġhzishoñ meñ
surayyā kī majalla tābishoñ meñ
fazā-e-sīm ārā-e-falak meñ
ufuq kī raushan-o-zarrīñ jhalak meñ
ziyā-afroz hai māh-e-daraḳhshāñ
laboñ kī tābisheñ haiñ ḳhanda-afshāñ
faza-e-āsmānī rah-guzar hai
musāfir raat kā garm-e-safar hai
siyāhī shab kī hai hamrāz-o-hamdam
sukūt-e-shām hai dam-sāz o mahram
hai tanhā.ī se rasm-e-āshnā.ī
ḳhayāl-e-mā-sivā se be-niyāzī
safar kī kaifiyat madd-e-nazar hai
ki taḳh.īl-e-safar lutf-e-safar hai
ḳhabar hī kuchh nahīñ hadd-e-safar kī
na kuchh parvāh tūl-e-rah-guzar kī
ḳhamosh o mutma.in hai jāda-paimā
jabīñ par istaqāmat jalva-farmā
sukūt-e-shab meñ jo yuuñ sargirāñ hai
mah-e-kāmil tirī manzil kahāñ hai
tirī rahbar ufaq kī ḳhāmushī hai
aniis o ham-safar ik chāñdnī hai
kamāl-e-zīst terī justujū hai
ye tarz-e-sa.ī hadd-e-ābrū hai
sabaq-āmoz terī dāstāñ hai
tujhe hāsil kamāl-e-kāmrāñ hai
tirī sa.i-e-amal lā-intihā hai
abad tak is safar kā silsila hai
sukut-e-shab ki hai jalwa-faroshi
hai maujudat par chhai KHamoshi
faza-e-sham ko nind aa rahi hai
manazir par siyahi chha rahi hai
hai badla rang din ke shor-o-shar ka
hua tarikiyon ka daur-daura
ruka hangama-ha-e-din ka mahshar
baDha shab ka sakun-bar-dosh manzar
hai aaKHir roz-e-raushan ki kahani
hui tarik burd-e-asmani
gaya rahat-kade mein mahr-e-taban
hue anwar aatish-bar-e-pinhan
hai tariki payam-e-KHwab-noshin
KHamoshi hai nawed-e-rang-e-taskin
faza-e-gharb hai paigham-e-rahat
ufaq ki KHamushi ilham-e-rahat
hai rangini faza ki kaif ishrat
shafaq ki surKHiyan saman-e-farhat
hawaon mein bhare hain naghma-e-shab
hai rahat-za rabab-e-zaKHm-e-shab
hua raushan nigar-e-shab ka jalwa
hain tanwiren falak par kar-farma
sitaron ki tabassum-bariyon mein
kawakib ki munawwar dhaariyon mein
sutur-e-kahkashan ki laghzishon mein
surayya ki majalla tabishon mein
faza-e-sim aara-e-falak mein
ufuq ki raushan-o-zarrin jhalak mein
ziya-afroz hai mah-e-daraKHshan
labon ki tabishen hain KHanda-afshan
faza-e-asmani rah-guzar hai
musafir raat ka garm-e-safar hai
siyahi shab ki hai hamraaz-o-hamdam
sukut-e-sham hai dam-saz o mahram
hai tanhai se rasm-e-ashnai
KHayal-e-ma-siwa se be-niyazi
safar ki kaifiyat madd-e-nazar hai
ki taKHil-e-safar lutf-e-safar hai
KHabar hi kuchh nahin hadd-e-safar ki
na kuchh parwah tul-e-rah-guzar ki
KHamosh o mutmain hai jada-paima
jabin par istaqamat jalwa-farma
sukut-e-shab mein jo yun sargiran hai
mah-e-kaamil teri manzil kahan hai
teri rahbar ufaq ki KHamushi hai
anis o ham-safar ek chandni hai
kamal-e-zist teri justuju hai
ye tarz-e-sai hadd-e-abru hai
sabaq-amoz teri dastan hai
tujhe hasil kamal-e-kaamran hai
teri sai-e-amal la-intiha hai
abad tak is safar ka silsila hai
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.