musafir ke Thikane nahin hote
ai mire maazī kī
bichhḌī huī raaho
ḳhayāl-e-yār se baḌh kar
hasīn shāh-rāho
sadā na do mujh ko
ki sar-zamīn-e-vatan par
kisī bhī āñgan ke
kisī darāz badan dar ke
ḳhūb-rū se māthe par
mere ḳhayāl meñ dilkash
hasīn naam kī tahrīr
kātib-e-vaqt ne nahīñ likhī
ki maiñ havā-e-dahr huuñ
bhaTaknā nagar nagar
ajnabī dayāroñ meñ
merā muqaddar hai
musāfiroñ ke Thikāne
kahīñ nahīñ hote
ki dastaras meñ hoñ
jin ke sirf ġhanīm-e-daurāñ
rafīq un ke
zamāne nahīñ hote
ai mere mazi ki
bichhDi hui raho
KHayal-e-yar se baDh kar
hasin shah-raho
sada na do mujh ko
ki sar-zamin-e-watan par
kisi bhi aangan ke
kisi daraaz badan dar ke
KHub-ru se mathe par
mere KHayal mein dilkash
hasin nam ki tahrir
katib-e-waqt ne nahin likhi
ki main hawa-e-dahr hun
bhaTakna nagar nagar
ajnabi dayaron mein
mera muqaddar hai
musafiron ke Thikane
kahin nahin hote
ki dastaras mein hon
jin ke sirf ghanim-e-dauran
rafiq un ke
zamane nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.