musafir parinde
ufuq tā ufuq nīlgūñ āsmāñ
musāfir parindoñ kī manzil kahāñ
bahut duur pīchhe ko us bahr ke māvarā
utartī rahī barf jamtī rahī tah-ba-tah āshiyānoñ ke paas
tab nazāre nazar-āshnā
izn-e-āvārgī zād-e-afsurdagī de ke tharrā.e bā-chashm-e-tar
ki shāyad bahut duur aage ko
us bahr ke māvarā
zamurrad juḌe sāhiloñ ne sunā ho salām iid kā
dhuup ke jashn āhaTeñ
naġhma-e-garm ḳhurshīd kā
ufuq tā ufuq nīlgūñ āsmāñ
koī shāḳh-e-gul hai na koī muñDer
ghaḌī-do-ghaḌī pañkhuḌī jaise par joḌ kar baiTh jaa.eñ jahāñ
ghaḌī-do-ghaḌī chahchahā.eñ jahāñ
koī apne dukhte ko ko agar agar meñ gir gayā
zarā bhī fazāoñ kā dāman na bhīgā
na vahshī havāoñ kā tūfāñ rukā
sitāre ba-dastūr nīlāhaToñ meñ chamakte rahe
misl-e-gardāb gardāñ shab-o-roz kī charḳhiyāñ
musāfir parindoñ kī manzil kahāñ
bahut duur pīchhe ko us bahr ke māvarā
har na.ī dil-kushā agnī munjamid
zer-e-ahrām yaḳh-mahv-e-ḳhvāb
saaz nahroñ ke darbār-e-fasl-e-bahārāñ ke
tābūt sadr nag Tīloñ ke phūloñ ke
tāj-o-guhar
munjamid zindagī kī fuġhāñ
bahut duur aage ko us bahr ke māvarā
vo ik raushnī kā jahāñ
vo ik gul pas-e-ḳhār-zār
vo ik dāna-e-zer-e-dām
use dekhnā aur ThiThaknā bhī kyā chiiz hai
magar aah us moḌ par aaj parvāz-o-āvāz thī
hāsil-e-musht par
hāsil-e-dāstāñ
ufuq ta ufuq nilgun aasman
musafir parindon ki manzil kahan
bahut dur pichhe ko us bahr ke mawara
utarti rahi barf jamti rahi tah-ba-tah aashiyanon ke pas
tab nazare nazar-ashna
izn-e-awargi zad-e-afsurdagi de ke tharrae ba-chashm-e-tar
ki shayad bahut dur aage ko
us bahr ke mawara
zamurrad juDe sahilon ne suna ho salam id ka
dhup ke jashn aahaTen
naghma-e-garm KHurshid ka
ufuq ta ufuq nilgun aasman
koi shaKH-e-gul hai na koi munDer
ghaDi-do-ghaDi pankhuDi jaise par joD kar baiTh jaen jahan
ghaDi-do-ghaDi chahchahaen jahan
koi apne dukhte ko ko agar agar mein gir gaya
zara bhi fazaon ka daman na bhiga
na wahshi hawaon ka tufan ruka
sitare ba-dastur nilahaTon mein chamakte rahe
misl-e-gardab gardan shab-o-roz ki charKHiyan
musafir parindon ki manzil kahan
bahut dur pichhe ko us bahr ke mawara
har nai dil-kusha agni munjamid
zer-e-ahram yaKH-mahw-e-KHwab
saz nahron ke darbar-e-fasl-e-bahaaran ke
tabut sadr nag Tilon ke phulon ke
taj-o-guhar
munjamid zindagi ki fughan
bahut dur aage ko us bahr ke mawara
wo ek raushni ka jahan
wo ek gul pas-e-KHar-zar
wo ek dana-e-zer-e-dam
use dekhna aur ThiThakna bhi kya chiz hai
magar aah us moD par aaj parwaz-o-awaz thi
hasil-e-musht par
hasil-e-dastan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.