museum
jāgtā huuñ to sitāre mirī āñkhoñ meñ utar jaate haiñ
niiñd aatī hai to mahtāb sā chehra terā
ā.īna mujh ko dikhātā hai ka.ī chehroñ kā
dekhte dekhte ḳhvāboñ meñ ka.ī ḳhvāb bikhar jaate haiñ
vaqt kī galiyoñ meñ āvāra liye phirtā hai ehsās-e-jamāl
maiñ safīne kī tarah dekhtā rahtā huuñ tujhe
chāñdnī merā kafan terī qabā bantī hai
mauj-e-ehsās meñ rūhoñ kā safar jaarī hai
ham jo zinda the jo zinda haiñ na zinda hoñge
ek lamha kisī ra.anā.ī kā paikar thā kabhī
mere ḳhvāboñ kā lahū mujh se liye jaatā hai
ek lamhe ne tarāshā hai mujhe jaam kī sūrat tujh ko
sar-e-bāzār dikhāyā hai ki tū mīnā-ba-dosh
ā.ina-ḳhāne meñ nīlām kī tasvīr dikhā.ī dī hai
raqs lamhoñ kā vahī fann-e-ḳharīdārī hai
aaj sarma-e-aflās vo fan kī qasam khāte rahe haiñ barsoñ
gardish-e-jām meñ kyuuñ jaam sar-e-shām samajhte haiñ mujhe
kyuuñ tire jism ke patthar ko samajhte haiñ ki tū mīnā-ba-dosh
in kī āġhosh meñ chup-chāp chalī jā.egī
ham to rūheñ haiñ jinheñ chāñd kafan-doz kiye jaatā hai
ham sar-e-dast jo patthar bhī haiñ shahkār bhī haiñ
TuuT jaate haiñ bikhar jaate haiñ mar jaate haiñ
kis liye hasrat-e-be-dād ko siine se lagāyā thā kabhī
jagta hun to sitare meri aankhon mein utar jate hain
nind aati hai to mahtab sa chehra tera
aaina mujh ko dikhata hai kai chehron ka
dekhte dekhte KHwabon mein kai KHwab bikhar jate hain
waqt ki galiyon mein aawara liye phirta hai ehsas-e-jamal
main safine ki tarah dekhta rahta hun tujhe
chandni mera kafan teri qaba banti hai
mauj-e-ehsas mein ruhon ka safar jari hai
hum jo zinda the jo zinda hain na zinda honge
ek lamha kisi ranai ka paikar tha kabhi
mere KHwabon ka lahu mujh se liye jata hai
ek lamhe ne tarasha hai mujhe jam ki surat tujh ko
sar-e-bazar dikhaya hai ki tu mina-ba-dosh
aaina-KHane mein nilam ki taswir dikhai di hai
raqs lamhon ka wahi fann-e-KHaridari hai
aaj sarma-e-aflas wo fan ki qasam khate rahe hain barson
gardish-e-jam mein kyun jam sar-e-sham samajhte hain mujhe
kyun tere jism ke patthar ko samajhte hain ki tu mina-ba-dosh
in ki aaghosh mein chup-chap chali jaegi
hum to ruhen hain jinhen chand kafan-doz kiye jata hai
hum sar-e-dast jo patthar bhi hain shahkar bhi hain
TuT jate hain bikhar jate hain mar jate hain
kis liye hasrat-e-be-dad ko sine se lagaya tha kabhi
- Book : naquush (Pg. 268)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.