mushaera
mushā.ere meñ jo shā.er bulā.e jaate haiñ
baḌe salīqe se būdam banā.e jaate haiñ
vasūl hote haiñ pahle ye nāma-o-paiġhām
ki ai shahanshah-e-aqlīm-e-'hāfiz'-o-'ḳhayyām'
hamārī bazm-e-adab kā hai jashn-e-sālāna
jalī hai sham-e-suḳhan raqs meñ hai parvāna
ghaTā jo sheroñ kī chāroñ taraf se aa.ī hai
vo film ke bhī sitāre sameT laa.ī hai
guzishta saal sunā jis ne aap ko ye kahā
na sho.ale meñ ye karishma, na barq meñ adā
aur ab ke saal bhī ḳhud dekh leñge ye sarkār
ki gūñjte haiñ aqīdat se kūcha-o-bāzār
ravāna kar deñ kirā.e kī gar zarūrat hai
''vo aa.eñ ghar meñ hamāre ḳhudā kī qudrat hai''
hamāre shahr meñ urdu adab kā dañggal hai
ye shahar sher kā aur shā.eroñ kā jañgal hai
ab is pe shā.er-e-shīrīñ-navā ko hai ye gumāñ
ki mere sho.ale se raushan huī hai sham.a-e-bayāñ
idhar se muntazim ik soch aur bichār meñ hai
use ḳhabar hai ki shā.er kis intizār meñ hai
bulāne ke liye isrār bhī vo kartā hai
kirāya le ki na phir aa.e is se Dartā hai
banā ke likhtā hai dāvat kā is tarah maktūb
mushā.ere meñ diyā jā.egā jo hai matlūb
ġharaz bulāte haiñ vo shā.eroñ ko hiile se
payām aate haiñ ahbāb ke vasīle se
jo sher sunñe ko apne gharoñ se aate haiñ
vo sab baTer laḌāne kā lutf uThāte haiñ
vo jānte haiñ ki shā.er hai ek murġh-e-ajīb
agar galā hai to shā.er, nahīñ galā to adiib
ye sochtā hai chalo qismat aazmā dekheñ
sulūk hotā hai auroñ ke saath kyā dekheñ
bahut se aur bhī shā.er vahāñ par ā.eñge
chalo ki marg-e-raqībāñ kā lutf uThā.eñge
haiñ kuchh pale hue shā.er kuchh in meñ ḳhud-rav haiñ
purāne ghaag haiñ kuchh in meñ shā.er-e-nau haiñ
vo dīdanī hai agar ho kuchh in meñ hañgāma
ki is akhāḌe kā har pahlvāñ hai allāma
satāte rahte haiñ shā.er ko aise andeshe
yahāñ talak ki nikal aa.eñ rishte aur reshe
ta.alluqāt se āḳhir ko ho ke vo majbūr
mushā.ere ko chalā jaise kaam par mazdūr
kisī se qarz liyā aur kisī kī minnat kī
ġharaz ki shā.er-e-ātish-navā ne rahlat kī
phañsā hai is liye phande meñ shā.er-e-sāda
ki muntazim bhī the hushiyār ye bhī āmāda
vo aa gayā hai uThā kar hazār dushvārī
chale jilau meñ use le ke us ke darbārī
kisī ke haath meñ paan aur kisī ke haath meñ haar
har ik ye kahtā hai zahmat bahut huī sarkār
mushā.ere meñ qadam-ranja aap farmā.eñ
to ahl-e-zauq nashistoñ meñ aa ke bhar jaa.eñ
taḌap rahe the jo sunñe ke vāste ash.ār
mushā.ere ke liye un ke paas haiñ darkār
ticket ḳharīd ke jo ahl-e-zauq aa.e haiñ
vo āḳhirī safoñ meñ ḳhud-baḳhud samā.e haiñ
moazzezīn jo zauq-e-adab se ḳhālī haiñ
reserve un ke liye aglī saf karā lī haiñ
ye is liye ki nazar meñ vo aap kī bhī raheñ
jo sher vo na samajh paa.eñ aap vo na paḌheñ
mushā.ere meñ ḳhvātīn buntī haiñ sweater
sambhal ke baiThe haiñ shā.er kī taak meñ hōter
paḌhā mushā.era shā.er ne ehtimām ke saath
ġhazal sunā.ī tarannum kī dhūm-dhām ke saath
kisī ne vaah kahā aur kisī ne huuT kiyā
mushā.ere ko ye samjhā ki maiñ ne luuT liyā
isī pe phūlā huā hai vāh-vāh huī
tamām raat kaTī niiñd bhī tabāh huī
ye mahfil aa hī ga.ī roz-o-shab kī sarhad par
janāb-e-sadr bhī ab so chuke haiñ masnad par
jo sāma.īn haiñ un par bhī niiñd taarī hai
savārī us ko milī jis pe fazl-e-bārī hai
jo muntazim the sitāroñ ke saath Duub ga.e
ga.e vo shā.eroñ se chhup ke aur ḳhuub ga.e
numūd-e-sub.h se jab muntashir huī mahfil
akelā rah gayā shā.er ġharīb-e-shahr o ḳhajil
mushā.era ba-juz andāz-e-hāv-hū kyā hai
''tumhāre shahar meñ 'ġhālib' kī aabrū kyā hai''
mushaere mein jo shaer bulae jate hain
baDe saliqe se budam banae jate hain
wasul hote hain pahle ye nama-o-paigham
ki ai shahanshah-e-aqlim-e-'hafiz'-o-'KHayyam'
hamari bazm-e-adab ka hai jashn-e-salana
jali hai sham-e-suKHan raqs mein hai parwana
ghaTa jo sheron ki chaaron taraf se aai hai
wo film ke bhi sitare sameT lai hai
guzishta sal suna jis ne aap ko ye kaha
na shoale mein ye karishma, na barq mein ada
aur ab ke sal bhi KHud dekh lenge ye sarkar
ki gunjte hain aqidat se kucha-o-bazar
rawana kar den kirae ki gar zarurat hai
wo aaen ghar mein hamare KHuda ki qudrat hai
hamare shahr mein urdu adab ka danggal hai
ye shahar sher ka aur shaeron ka jangal hai
ab is pe shaer-e-shirin-nawa ko hai ye guman
ki mere shoale se raushan hui hai shama-e-bayan
idhar se muntazim ek soch aur bichaar mein hai
use KHabar hai ki shaer kis intizar mein hai
bulane ke liye israr bhi wo karta hai
kiraya le ki na phir aae is se Darta hai
bana ke likhta hai dawat ka is tarah maktub
mushaere mein diya jaega jo hai matlub
gharaz bulate hain wo shaeron ko hile se
payam aate hain ahbab ke wasile se
jo sher sunne ko apne gharon se aate hain
wo sab baTer laDane ka lutf uThate hain
wo jaante hain ki shaer hai ek murgh-e-ajib
agar gala hai to shaer, nahin gala to adib
ye sochta hai chalo qismat aazma dekhen
suluk hota hai auron ke sath kya dekhen
bahut se aur bhi shaer wahan par aaenge
chalo ki marg-e-raqiban ka lutf uThaenge
hain kuchh pale hue shaer kuchh in mein KHud-raw hain
purane ghag hain kuchh in mein shaer-e-nau hain
wo didani hai agar ho kuchh in mein hangama
ki is akhaDe ka har pahlwan hai allama
satate rahte hain shaer ko aise andeshe
yahan talak ki nikal aaen rishte aur reshe
talluqat se aaKHir ko ho ke wo majbur
mushaere ko chala jaise kaam par mazdur
kisi se qarz liya aur kisi ki minnat ki
gharaz ki shaer-e-atish-nawa ne rahlat ki
phansa hai is liye phande mein shaer-e-sada
ki muntazim bhi the hushiyar ye bhi aamada
wo aa gaya hai uTha kar hazar dushwari
chale jilau mein use le ke us ke darbari
kisi ke hath mein pan aur kisi ke hath mein haar
har ek ye kahta hai zahmat bahut hui sarkar
mushaere mein qadam-ranja aap farmaen
to ahl-e-zauq nashiston mein aa ke bhar jaen
taDap rahe the jo sunne ke waste ashaar
mushaere ke liye un ke pas hain darkar
ticket KHarid ke jo ahl-e-zauq aae hain
wo aaKHiri safon mein KHud-baKHud samae hain
moazzezin jo zauq-e-adab se KHali hain
reserwe un ke liye agli saf kara li hain
ye is liye ki nazar mein wo aap ki bhi rahen
jo sher wo na samajh paen aap wo na paDhen
mushaere mein KHwatin bunti hain sweater
sambhal ke baiThe hain shaer ki tak mein hooter
paDha mushaera shaer ne ehtimam ke sath
ghazal sunai tarannum ki dhum-dham ke sath
kisi ne wah kaha aur kisi ne huT kiya
mushaere ko ye samjha ki main ne luT liya
isi pe phula hua hai wah-wah hui
tamam raat kaTi nind bhi tabah hui
ye mahfil aa hi gai roz-o-shab ki sarhad par
janab-e-sadr bhi ab so chuke hain masnad par
jo samain hain un par bhi nind tari hai
sawari us ko mili jis pe fazl-e-bari hai
jo muntazim the sitaron ke sath Dub gae
gae wo shaeron se chhup ke aur KHub gae
numud-e-subh se jab muntashir hui mahfil
akela rah gaya shaer gharib-e-shahr o KHajil
mushaera ba-juz andaz-e-haw-hu kya hai
tumhaare shahar mein 'ghaalib' ki aabru kya hai
- Book : shoKHii-e-tahriir (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.