mushaheda
dīvār meñ rauzan to huā karte haiñ lekin
dil meñ nahīñ hotā koī is daur meñ rauzan
paḌtī hai nazar sab kī tamāshoñ pe jahāñ ke
rahtā hai nigāhoñ se chhupā siine kā darpan
detī hai har ik chiiz zamāne kī dikhā.ī
hotā nahīñ ḳhud apnā hī dīdār mayassar
bāhar ke manāzir meñ haiñ uljhī huī nazreñ
āñkhoñ se haiñ ojhal vo nazāre jo haiñ andar
diwar mein rauzan to hua karte hain lekin
dil mein nahin hota koi is daur mein rauzan
paDti hai nazar sab ki tamashon pe jahan ke
rahta hai nigahon se chhupa sine ka darpan
deti hai har ek chiz zamane ki dikhai
hota nahin KHud apna hi didar mayassar
bahar ke manazir mein hain uljhi hui nazren
aankhon se hain ojhal wo nazare jo hain andar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.