mushahida
merī maañ kahtī hai
mujh ko paidā hue pachchīs baras biit chuke haiñ
lekin jab se hosh sañbhālā
sirf itnā dekhā
dhartī bāñjh
raat khañDar
din taptā registān
maiñ ek pur-sukūn samundar
jis par kisī ne
patthar bhī na pheñkā
jab bhī DhūñDī
raah na.ī
busoñ ne aañkh meñ dhuul jhoñkī
duniyā kā hujūm hañstā hai
āñkheñ bebas
rāste mādūm
meri man kahti hai
mujh ko paida hue pachchis baras bit chuke hain
lekin jab se hosh sanbhaala
sirf itna dekha
dharti banjh
raat khanDar
din tapta registan
main ek pur-sukun samundar
jis par kisi ne
patthar bhi na phenka
jab bhi DhunDi
rah nai
buson ne aankh mein dhul jhonki
duniya ka hujum hansta hai
aankhen bebas
raste madum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.