mushk wala hiran
apnī duniyā kā sab se nirālā hiran
uttrakhand kā bholā-bhālā hiran
ye hiran hai magar hai zarā muḳhtalif
is kā qissa hai jaadū bharā muḳhtalif
sab se umda hiran sab se aalī hiran
apnī duniyā kā sab se nirālā hiran
darmiyāñ aap ke ham kareñ inkishāf
mushk se is kī qudrat ne bhar dī hai naaf
laal thoḌā hai aur thoḌā kaalā hiran
apnī duniyā kā sab se nirālā hiran
toḌ Daalī ga.ī ban meñ hirnoñ kī Daar
mushk kī ḳhātir is kā huā hai shikār
chaḌh gayā bheñT yuuñ bholā-bhālā hiran
apnī duniyā kā sab se nirālā hiran
apni duniya ka sab se nirala hiran
uttrakhand ka bhola-bhaala hiran
ye hiran hai magar hai zara muKHtalif
is ka qissa hai jadu bhara muKHtalif
sab se umda hiran sab se aali hiran
apni duniya ka sab se nirala hiran
darmiyan aap ke hum karen inkishaf
mushk se is ki qudrat ne bhar di hai naf
lal thoDa hai aur thoDa kala hiran
apni duniya ka sab se nirala hiran
toD Dali gai ban mein hirnon ki Dar
mushk ki KHatir is ka hua hai shikar
chaDh gaya bhenT yun bhola-bhaala hiran
apni duniya ka sab se nirala hiran
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.