mushtarka KHwab ki qabr par
raat terī mirī ārzūoñ kā maskan ye raat
ghuur kaalī siyah bādaloñ se aTī
tere mere gunāhoñ savāboñ
savāloñ javāboñ se aarī ye raat
ḳhuun kī hiddatoñ meñ dahaktī huī
saare ḳhvāboñ kā īñdhan banātī huī
ratjagoñ kī chitā
jo tirī merī āñkhoñ meñ bhaḌkī
bhaḌak ke bujhī
saarī umroñ ke dukh
aatī jaatī har ik saañs meñ haiñ sambhāle hue
saañs jo aas kī dostī ko bhulā bhī chukī
dhīre dhīre simaTtī huī
kin yugoñ par nazar ko jamā.e hue
barf hone lagī
raat va.ade sabhī asal ke
jo na puure hue
kyuuñ kiye
kor āñkheñ bhikārī banī haiñ
mujassam savālī banī haiñ
ḳhamoshī kā kaasa liye
vasl kī rezgārī ke haiñ muntazir
chhan chhanan
koī āvāz koī bhī
ḳhushiyoñ ke sakūñ se labrez āvāz
āñkheñ sunīñ
kaise lekin sunīñ
surma.ī shaam apnā labāda badal bhī chukī
raat aa.ī
ye Dolī nahīñ kuchh janāze uThā.e hue
saare va.ade bhulā.e hue
shahr-e-afsos
ek mātam lahū kī ravānī meñ hai
raakh hī raakh āñkhoñ ke paanī meñ hai
raat teri meri aarzuon ka maskan ye raat
ghur kali siyah baadalon se aTi
tere mere gunahon sawabon
sawalon jawabon se aari ye raat
KHun ki hiddaton mein dahakti hui
sare KHwabon ka indhan banati hui
ratjagon ki chita
jo teri meri aankhon mein bhaDki
bhaDak ke bujhi
sari umron ke dukh
aati jati har ek sans mein hain sambhaale hue
sans jo aas ki dosti ko bhula bhi chuki
dhire dhire simaTti hui
kin yugon par nazar ko jamae hue
barf hone lagi
raat wade sabhi asal ke
jo na pure hue
kyun kiye
kor aankhen bhikari bani hain
mujassam sawali bani hain
KHamoshi ka kasa liye
wasl ki rezgari ke hain muntazir
chhan chhanan
koi aawaz koi bhi
KHushiyon ke sakun se labrez aawaz
aankhen sunin
kaise lekin sunin
surmai sham apna labaada badal bhi chuki
raat aai
ye Doli nahin kuchh janaze uThae hue
sare wade bhulae hue
shahr-e-afsos
ek matam lahu ki rawani mein hai
rakh hi rakh aankhon ke pani mein hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 139)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.