musibat ki KHabren
musībat kī ḳhabreñ
suno shaam vaalo musībat kī ḳhabreñ
garebān dāman talak chaak kar do
saroñ par savāroñ kī roñdī huī ḳhaak Daalo
abū-qais ko maut ne khā liyā hai
amīr-e-damishq in dinoñ sogvārī meñ haiñ
ġhamoñ ke añdheroñ meñ jakḌe hue
huzn kī aag se un kā dil jal gayā
aah bū-qais kī maut ke baar se jhuk ga.e haiñ ḳhalīfa ke shāne
abū-qais kyā thā tumheñ kyā ḳhabar shaam vaalo
abū-qais baḌe shahsavāroñ meñ thā
vo ḳhalīfa kā rāz-āshnā, bandagān-e-ḳhudā meñ muqarrab
yazīd-ibn-e-maisūn kī shab kā sāthī
abū-qais hiñda ke pote kā tanhā sahārā
vahī surḳh bandar
jo maisūn apne qabīle se laa.ī
bahut shauq se naam us kā abū-qais rakhā
phir apnī amānat arab aur ajam ke ḳhalīfa ko sauñpī
usī sāhib-e-taḳht-o-tāj-o-tarab ko
jise aaj islām kī pāsbānī kā puurā sharaf hai
usī kā aur abū-qais bandar
ḳhudā us ko baḳhshe
use ghuḌ-savārī meñ aisī mahārat thī jis kā bayāñ karnā qudrat se bāhar
kisī shḳhs-e-bad-baḳht ne us ke ghoḌe ko bidkā diyā
us ke paañv rikāboñ se nikle
abū-qais nīche girā aur mīloñ talak Thokaroñ par rahā
aah kis be-kasī meñ adam ko sidhārā
musībat, musībat
suno ahl-e-islām
abū-qais kī maut aisā baḌā sāneha hai
ki jis kī musībat se āl-umayya ke qasroñ meñ raakh aur dhuāñ bhar gayā hai
duaa!
duā kī zarūrat
abū-qais kī maġhfirat ke liye
aur yazīd-ibn-e-hiñda ke sabr o jazā ke liye
musibat ki KHabren
suno sham walo musibat ki KHabren
gareban daman talak chaak kar do
saron par sawaron ki rondi hui KHak Dalo
abu-qais ko maut ne kha liya hai
amir-e-damishq in dinon sogwari mein hain
ghamon ke andheron mein jakDe hue
huzn ki aag se un ka dil jal gaya
aah bu-qais ki maut ke bar se jhuk gae hain KHalifa ke shane
abu-qais kya tha tumhein kya KHabar sham walo
abu-qais baDe shahsawaron mein tha
wo KHalifa ka raaz-ashna, bandagan-e-KHuda mein muqarrab
yazid-ibn-e-maisun ki shab ka sathi
abu-qais hinda ke pote ka tanha sahaara
wahi surKH bandar
jo maisun apne qabile se lai
bahut shauq se nam us ka abu-qais rakha
phir apni amanat arab aur ajam ke KHalifa ko saunpi
usi sahib-e-taKHt-o-taj-o-tarab ko
jise aaj islam ki pasbani ka pura sharaf hai
usi ka aur abu-qais bandar
KHuda us ko baKHshe
use ghuD-sawari mein aisi mahaarat thi jis ka bayan karna qudrat se bahar
kisi shKHs-e-bad-baKHt ne us ke ghoDe ko bidka diya
us ke panw rikabon se nikle
abu-qais niche gira aur milon talak Thokaron par raha
aah kis be-kasi mein adam ko sidhaara
musibat, musibat
suno ahl-e-islam
abu-qais ki maut aisa baDa saneha hai
ki jis ki musibat se aal-umayya ke qasron mein rakh aur dhuan bhar gaya hai
dua!
dua ki zarurat
abu-qais ki maghfirat ke liye
aur yazid-ibn-e-hinda ke sabr o jaza ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.