muskuraati hui zindagi kya hui
raqs kartī huī
gungunātī huī
muskurātī huī
zindagī kyā huī
jagmagāte hue shahr ko kyā huā
raushnī kyā huī
phuul jaise badan
rang-o-bū ke chaman
pyaar ke sāhiloñ kī fazā
phuul kī Dāliyoñ se
lipaTtī havā
chashm-e-ehsās ke sāmne
duur tak aaj kuchh bhī nahīñ
ahd-o-paimāñ
ke rishtoñ ko kis kī nazar khā ga.ī
dostī kyā huī
kitne gul-rang paikar
mile ḳhaak meñ
kitne kaḌiyal javāñ
apne sīnoñ pe
zaḳhmoñ ke tamġhe sajā.e
shahādat ke
darje pe faa.ez hue
har taraf hai dhuāñ
shor-e-āh-o-fuġhāñ
vahshat-e-be-amāñ
dasht o dar
haiñ savālī
batā.e koī
zindagī kyā huī
raqs kartī huī
gungunātī huī
muskurātī huī zindagī kyā huī
raqs karti hui
gungunati hui
muskuraati hui
zindagi kya hui
jagmagate hue shahr ko kya hua
raushni kya hui
phul jaise badan
rang-o-bu ke chaman
pyar ke sahilon ki faza
phul ki Daliyon se
lipaTti hawa
chashm-e-ehsas ke samne
dur tak aaj kuchh bhi nahin
ahd-o-paiman
ke rishton ko kis ki nazar kha gai
dosti kya hui
kitne gul-rang paikar
mile KHak mein
kitne kaDiyal jawan
apne sinon pe
zaKHmon ke tamghe sajae
shahadat ke
darje pe faez hue
har taraf hai dhuan
shor-e-ah-o-fughan
wahshat-e-be-aman
dasht o dar
hain sawali
batae koi
zindagi kya hui
raqs karti hui
gungunati hui
muskuraati hui zindagi kya hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.