muslim-league
log kahte haiñ ki āmāda-e-islāh hai league
ye agar sach hai to ham ko bhī koī jañg nahīñ
seġha-e-rāz se kuchh kuchh ye bhanak aatī hai
ki ham-āhañgi-e-ahbāb se ab nañg nahīñ
farq itnā to ba-zāhir nazar aatā hai zarūr
ab ḳhushāmad kā har ik baat meñ vo rañg nahīñ
arz-e-matlab meñ zabāñ kuchh to hai khultī jaatī
garche ab tak bhī harīfoñ se ham-āhañg nahīñ
vo bhī ab naqd-e-hukūmat ko parakhte haiñ zarūr
jin ko ab tak bhī tamīz-e-guhar-o-sañg nahīñ
qaum meñ phūñkte rahte haiñ jo afsūn-e-vafā
un kī afsāna-tarāzī kā bhī vo Dhañg nahīñ
vo bhī kahte haiñ ki is jins-e-vafā kī qīmat
jis qadar miltī hai zarre ke bhī ham sañg nahīñ
aage the halqa-e-taqlīd meñ jo log asiir
sust-raftār to ab bhī haiñ magar lañg nahīñ
aap liberal jo nahīñ haiñ to balā se na sahī
yaañ kisī ko talab-e-afsar-o-aurañg nahīñ
kaam karne ke bahut se haiñ jo karnā chāheñ
ab bhī ye dā.era-e-sa.i-o-amal tañg nahīñ
saal meñ ye jo tamāshā sā huā kartā hai
kaam karne kā ye andāz nahīñ Dhañg nahīñ
kuchh to nazm-o-nasq-e-mulk meñ bhī dījiye daḳhl
sheva-e-haq-talabī hai ye koī jañg nahīñ
kuchh na kuchh nazm-e-hukūmat meñ hai islāh zarūr
ham na māneñge ki is ā.īna meñ zañg nahīñ
kam se kam hakim-e-izlā to hoñ ahl-e-vatan
kyā hazāroñ meñ koī sāhib-e-farhañg nahīñ
log kahte hain ki aamada-e-islah hai league
ye agar sach hai to hum ko bhi koi jang nahin
segha-e-raaz se kuchh kuchh ye bhanak aati hai
ki ham-ahangi-e-ahbab se ab nang nahin
farq itna to ba-zahir nazar aata hai zarur
ab KHushamad ka har ek baat mein wo rang nahin
arz-e-matlab mein zaban kuchh to hai khulti jati
garche ab tak bhi harifon se ham-ahang nahin
wo bhi ab naqd-e-hukumat ko parakhte hain zarur
jin ko ab tak bhi tamiz-e-guhar-o-sang nahin
qaum mein phunkte rahte hain jo afsun-e-wafa
un ki afsana-taraazi ka bhi wo Dhang nahin
wo bhi kahte hain ki is jins-e-wafa ki qimat
jis qadar milti hai zarre ke bhi hum sang nahin
aage the halqa-e-taqlid mein jo log asir
sust-raftar to ab bhi hain magar lang nahin
aap liberal jo nahin hain to bala se na sahi
yan kisi ko talab-e-afsar-o-aurang nahin
kaam karne ke bahut se hain jo karna chahen
ab bhi ye daera-e-sai-o-amal tang nahin
sal mein ye jo tamasha sa hua karta hai
kaam karne ka ye andaz nahin Dhang nahin
kuchh to nazm-o-nasq-e-mulk mein bhi dijiye daKHl
shewa-e-haq-talabi hai ye koi jang nahin
kuchh na kuchh nazm-e-hukumat mein hai islah zarur
hum na manenge ki is aaina mein zang nahin
kam se kam hakim-e-izla to hon ahl-e-watan
kya hazaron mein koi sahib-e-farhang nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.