muslim muslim fasadat
sub.h-dam jo dekhā thā
kyā harā-bharā ghar thā
DāñTtī huī biivī
bhāgte hue bachche
rassiyoñ kī bāñhoñ meñ
jhūlte hue kapḌe
bolte hue bartan
jāgte hue chūlhe
ik taraf ko guḌiyā kā
adh-banā gharauñdā thā
duur ek kone meñ
cycle kā pahiyā thā
murġhiyoñ ke Darbe the
kābukeñ thīñ, piñjrā thā
tiis gaz ke āñgan meñ
sab hī kuchh to rakkhā thā
ek pal meñ ye manzar
kyuuñ badal sā jaatā hai
ik dhuāñ sā uThtā hai
haañ magar dhundalke meñ
kuchh dikhā.ī detā hai
jā-namāz kā konā
jhāḌiyoñ meñ uljhā hai
saf.ha-e-kalām-e-pāk
ḳhaak par laraztā hai
saath aur ḳhabroñ ke
ye ḳhabar bhī chhaptī hai
log is ko paḌhte haiñ
bāteñ hotī rahtī haiñ
kaam chalte rahte haiñ
embulance edhī kī
bain kartī aatī hai
sab jalī kaTī lāsheñ
saath le ke jaatī hai
sub.h tak sabhī lāsheñ
dafn kar dī jaatī haiñ
auratoñ kī bachchoñ kī
būḌhoñ aur javānoñ kī
masjidoñ se hotī haiñ
bārisheñ azānoñ kī
lā-ilāh il-lallāh
lā-ilāha il-lallāh
subh-dam jo dekha tha
kya hara-bhara ghar tha
DanTti hui biwi
bhagte hue bachche
rassiyon ki banhon mein
jhulte hue kapDe
bolte hue bartan
jagte hue chulhe
ek taraf ko guDiya ka
adh-bana gharaunda tha
dur ek kone mein
cycle ka pahiya tha
murghiyon ke Darbe the
kabuken thin, pinjra tha
tis gaz ke aangan mein
sab hi kuchh to rakkha tha
ek pal mein ye manzar
kyun badal sa jata hai
ek dhuan sa uThta hai
han magar dhundalke mein
kuchh dikhai deta hai
ja-namaz ka kona
jhaDiyon mein uljha hai
safha-e-kalam-e-pak
KHak par larazta hai
sath aur KHabron ke
ye KHabar bhi chhapti hai
log is ko paDhte hain
baaten hoti rahti hain
kaam chalte rahte hain
embulance edhi ki
bain karti aati hai
sab jali kaTi lashen
sath le ke jati hai
subh tak sabhi lashen
dafn kar di jati hain
auraton ki bachchon ki
buDhon aur jawanon ki
masjidon se hoti hain
barishen azanon ki
la-ilah il-lallah
la-ilaha il-lallah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.