muslim umma ka America se shikwa
Interesting Fact
With due apologies to the legendary poet Allaama Iqbal
kyuuñ gunahgār banūñ visa-farāmosh rahūñ
kab talak ḳhauf-zada sūrat-e-ḳhargosh rahūñ
vaqt kā ye bhī taqāza hai ki ḳhāmosh rahūñ
ham-navā! maiñ koī mujrim huuñ ki rū-posh rahūñ
shikva america se ḳhākam-ba-dahan hai mujh ko
chūñki is mulk kā sahrā bhī chaman hai mujh ko
gar tire shahr meñ aa.e haiñ to ma.azūr haiñ ham
vaqt kā bojh uThā.e hue mazdūr haiñ ham
ek hī job pe muddat se ba-dastūr haiñ ham
'bush' se nazdīk 'musharraf' se bahut duur haiñ ham
U.S.A shikva-e-arbāb-e-vafā bhī sun le
tālib-e-aiD se thoḌā sā gila bhī sun le
terā parcham sar-e-aflāk uḌāyā kis ne
tere qānūn ko siine se lagāyā kis ne
har senator ko election meñ jitāyā kis ne
fund-rasing kī mahāfil ko sajāyā kis ne
'hilary' se kabhī pūchho kabhī chak-schumer se
har senator ko navāzā hai yahāñ dollar se
jackson-heights kī galiyoñ ko basāyā ham ne
coney-island kī zīnat ko baḌhāyā ham ne
goriyoñ hī se nahīñ ishq laḌāyā ham ne
kāliyoñ se bhī yahāñ aqd rachāyā ham ne
aa ke is mulk meñ rishte hī faqat joḌe haiñ
bam to kyā ham ne paTāḳhe bhī nahīñ chhoḌe haiñ
jab burā vaqt paḌā ham ne sambhālī masjid
kab talak rahtī musalmān se ḳhālī masjid
jab huī ghar se bahut duur bilālī masjid
ham ne ''tah-ḳhāne'' meñ chhoTī sī banā lī masjid
ham ne kyā jurm kiyā apnī ibādat ke liye
sirf mīlād kiyā jashn-e-vilādat ke liye
ham ne rakkhī hai yahāñ amn-o-amāñ kī buniyād
apnī fitrat meñ nahīñ dahshat o dañgā o fasād
har musalmān pe U.S.A meñ paḌī hai uftād
phir bhī ham ne tire shahroñ ko kiyā hai ābād
tujh se iqrār-e-mohabbat kī sazā paa.ī hai
ham ne is mulk meñ jhaTke kī chikan khaa.ī hai
gir gayā tez havāoñ se agar tayyāra
pakḌā jaatā hai musalmān yahāñ be-chārā
kabhī ghūrā kabhī taaḌā to kabhī lalkārā
kabhī subway se uThāyā kabhī chhāpa maarā
tū ne ye kah ke jahāzoñ ko karachi bhejā
ye bhī shaklan hai musalmān ise bhī le jā
ham musalmān haiñ dahshat ke ravādār nahīñ
kisī ḳhitte ke bhī insān se bezār nahīñ
qatl aur ḳhuuñ kī siyāsat ke taraf-dār nahīñ
dāfe-e-jañg faqat phuul haiñ talvār nahīñ
ham yahāñ amn ke haamī haiñ tujhe fikr nahīñ
mere qur.ān meñ dahshat kā kahīñ zikr nahīñ
media terā davāt aur qalam tere haiñ
jitne bhī mulk haiñ dollar kī qasam tere haiñ
ye shahanshāh ye arbāb-e-haram tere haiñ
kaash tujh ko yaqīñ aa jaa.e ki ham tere haiñ
tū ne jab bhī kabhī māñgā hai tujhe tel diyā
tujh ko jab mauqa.a lagā tū ne hameñ bel diyā
hālat-e-jañg meñ ham log tire saath rahe
taaki duniyā kī qayādat meñ tirī baat rahe
aur musalmān hī mahrūm-e-ināyāt rahe
kuchh to diport hue nazr-e-havālāt rahe
ham tire sab se baḌe halqa-e-ahbāb meñ haiñ
phir bhī tūfāñ se nikalte nahīñ girdāb meñ haiñ
''aiD'' meñ terī ajab ma.arka-ārā.ī hai
maut ke saaz meñ lipTī huī shahnā.ī hai
aslaha de ke jo dushman kī pazīrā.ī hai
ham vafādār nahīñ tū bhī to harjā.ī hai
rahmateñ haiñ tirī aġhyār ke kāshānoñ par
chhāpa paḌtā hai to bechāre musalmānoñ par
kyun gunahgar banun wisa-faramosh rahun
kab talak KHauf-zada surat-e-KHargosh rahun
waqt ka ye bhi taqaza hai ki KHamosh rahun
ham-nawa! main koi mujrim hun ki ru-posh rahun
shikwa america se KHakam-ba-dahan hai mujh ko
chunki is mulk ka sahra bhi chaman hai mujh ko
gar tere shahr mein aae hain to mazur hain hum
waqt ka bojh uThae hue mazdur hain hum
ek hi job pe muddat se ba-dastur hain hum
'bush' se nazdik 'musharraf' se bahut dur hain hum
USA shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le
talib-e-aiD se thoDa sa gila bhi sun le
tera parcham sar-e-aflak uDaya kis ne
tere qanun ko sine se lagaya kis ne
har senator ko election mein jitaya kis ne
fund-rasing ki mahafil ko sajaya kis ne
'hilary' se kabhi puchho kabhi chak-schumer se
har senator ko nawaza hai yahan dollar se
jackson-heights ki galiyon ko basaya hum ne
coney-island ki zinat ko baDhaya hum ne
goriyon hi se nahin ishq laDaya hum ne
kaliyon se bhi yahan aqd rachaya hum ne
aa ke is mulk mein rishte hi faqat joDe hain
bam to kya hum ne paTaKHe bhi nahin chhoDe hain
jab bura waqt paDa hum ne sambhaali masjid
kab talak rahti musalman se KHali masjid
jab hui ghar se bahut dur bilali masjid
hum ne tah-KHane mein chhoTi si bana li masjid
hum ne kya jurm kiya apni ibaadat ke liye
sirf milad kiya jashn-e-wiladat ke liye
hum ne rakkhi hai yahan amn-o-aman ki buniyaad
apni fitrat mein nahin dahshat o danga o fasad
har musalman pe USA mein paDi hai uftad
phir bhi hum ne tere shahron ko kiya hai aabaad
tujh se iqrar-e-mohabbat ki saza pai hai
hum ne is mulk mein jhaTke ki chikan khai hai
gir gaya tez hawaon se agar tayyara
pakDa jata hai musalman yahan be-chaara
kabhi ghura kabhi taDa to kabhi lalkara
kabhi subway se uThaya kabhi chhapa mara
tu ne ye kah ke jahazon ko karachi bheja
ye bhi shaklan hai musalman ise bhi le ja
hum musalman hain dahshat ke rawadar nahin
kisi KHitte ke bhi insan se bezar nahin
qatl aur KHun ki siyasat ke taraf-dar nahin
dafe-e-jang faqat phul hain talwar nahin
hum yahan amn ke hami hain tujhe fikr nahin
mere quran mein dahshat ka kahin zikr nahin
media tera dawat aur qalam tere hain
jitne bhi mulk hain dollar ki qasam tere hain
ye shahanshah ye arbab-e-haram tere hain
kash tujh ko yaqin aa jae ki hum tere hain
tu ne jab bhi kabhi manga hai tujhe tel diya
tujh ko jab mauqa laga tu ne hamein bel diya
haalat-e-jang mein hum log tere sath rahe
taki duniya ki qayaadat mein teri baat rahe
aur musalman hi mahrum-e-inayat rahe
kuchh to diport hue nazr-e-hawalat rahe
hum tere sab se baDe halqa-e-ahbab mein hain
phir bhi tufan se nikalte nahin girdab mein hain
aiD mein teri ajab marka-arai hai
maut ke saz mein lipTi hui shahnai hai
aslaha de ke jo dushman ki pazirai hai
hum wafadar nahin tu bhi to harjai hai
rahmaten hain teri aghyar ke kashanon par
chhapa paDta hai to bechaare musalmanon par
- Book : No Problem (Pg. 23)
- Author : khaalid irfaan
- Publication : nayyar jehan urdu markaz international(los Angeles)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.