muslim uniwersity aligarh se KHitab
ai aligarh ai javāñ-qismat dabistān-e-kuhan
aql ke fānūs se raushan hai terī anjuman
hashr ke din tak phalā-phūlā rahe terā chaman
tere paimānoñ meñ larzāñ hai sharāb-e-ilm-o-fan
rūh-e-'sir-sayyad' se raushan terā mai-ḳhāna rahe
rahtī duniyā tak tirā gardish meñ paimāna rahe
ek din ham bhī tirī āñkhoñ ke bīmāroñ meñ the
terī zulf-e-ḳham najam ke nau-giraftāroñ meñ the
terī jins-e-ilm-parvar ke ḳharīdāroñ meñ the
jān-o-dil se tere jalvoñ ke parastāroñ meñ the
mauj-e-kausar thā tirā sail-e-adā apne liye
āb-e-haivāñ thī terī āb-o-havā apne liye
ilm kā pahlā sabaq tū ne paḌhāyā thā hameñ
kis tarah jiite haiñ tū ne hī batāyā thā hameñ
ḳhvāb se tiflī ke tū ne hī jagāyā thā hameñ
naaz se parvān tū ne hī chaḌhāyā thā hameñ
mausam-e-gul keī ḳhabar terī zabānī aa.ī thī
tere bāġhoñ meñ havā khā kar javānī aa.ī thī
lekin ai ilm-o-jasārat ke daraḳhshāñ āftāb
kuchh ba-alfāz-e-digar bhī tujh se karnā hai ḳhitāb
go ye dhaḌkā hai ki hūñgā murid-e-qahr-o-itāb
kah bhī duuñ jo kuchh hai dil meñ tā-kujā ye pech-o-tāb
ban paḌe jo sa.ī apne se vo karnā chāhiye
mard ko kahne ke mauqa pe na Darnā chāhiye
ai aligarh ai halāk-e-tābish-e-vaz.a-e-farañg
'thames' hai āġhosh meñ tere bajā.e mauj-e-gañg
vādī-e-maġhrib meñ gum hai tere dil keī har umañg
valvaloñ meñ tere shāyad arsa-e-mashriq hai tañg
kab hai maġhrib ka.aba-e-hājat-ravā tere liye
aa ki hai bechain rūh-e-asia tere liye
kushta-e-maġhrib nigār-e-sharq ke abrū bhī dekh
sāz-e-be-rañgī ke juuyā soz-e-rang-o-bū bhī dekh
nargis-e-arzaq ke shaidā dīda-e-āhū bhī dekh
ai sunahrī zulf ke qaidī siyah gesū bhī dekh
kar chukā sair asl markaz par to aanā chāhiye
apne ghar keī samt bhī āñkheñ uThānā chāhiye
puḳhta-kārī siikh ye ā.īn-e-ḳhāmī tā-kujā
jāda-e-afrang par yuuñ tez-gāmī tā-kujā
soch tū jī meñ ye jhūTī nek-nāmī tā-kujā
maġhribī tahzīb kā tauq-e-ġhulāmī tā-kujā
mard agar hai ġhair keī taqlīd karnā chhoḌ de
chhoḌ de lillāh bil-aqsāt marnā chhoḌ de
ai aligarh ai jawan-qismat dabistan-e-kuhan
aql ke fanus se raushan hai teri anjuman
hashr ke din tak phala-phula rahe tera chaman
tere paimanon mein larzan hai sharab-e-ilm-o-fan
ruh-e-'sir-sayyad' se raushan tera mai-KHana rahe
rahti duniya tak tera gardish mein paimana rahe
ek din hum bhi teri aankhon ke bimaron mein the
teri zulf-e-KHam najam ke nau-giraftaron mein the
teri jins-e-ilm-parwar ke KHaridaron mein the
jaan-o-dil se tere jalwon ke parastaron mein the
mauj-e-kausar tha tera sail-e-ada apne liye
aab-e-haiwan thi teri aab-o-hawa apne liye
ilm ka pahla sabaq tu ne paDhaya tha hamein
kis tarah jite hain tu ne hi bataya tha hamein
KHwab se tifli ke tu ne hi jagaya tha hamein
naz se parwan tu ne hi chaDhaya tha hamein
mausam-e-gul kei KHabar teri zabani aai thi
tere baghon mein hawa kha kar jawani aai thi
lekin ai ilm-o-jasarat ke daraKHshan aaftab
kuchh ba-alfaz-e-digar bhi tujh se karna hai KHitab
go ye dhaDka hai ki hunga murid-e-qahr-o-itab
kah bhi dun jo kuchh hai dil mein ta-kuja ye pech-o-tab
ban paDe jo sai apne se wo karna chahiye
mard ko kahne ke mauqa pe na Darna chahiye
ai aligarh ai halak-e-tabish-e-waza-e-farang
'thames' hai aaghosh mein tere bajae mauj-e-gang
wadi-e-maghrib mein gum hai tere dil kei har umang
walwalon mein tere shayad arsa-e-mashriq hai tang
kab hai maghrib kaba-e-hajat-rawa tere liye
aa ki hai bechain ruh-e-asia tere liye
kushta-e-maghrib nigar-e-sharq ke abru bhi dekh
saz-e-be-rangi ke juya soz-e-rang-o-bu bhi dekh
nargis-e-arzaq ke shaida dida-e-ahu bhi dekh
ai sunahri zulf ke qaidi siyah gesu bhi dekh
kar chuka sair asl markaz par to aana chahiye
apne ghar kei samt bhi aankhen uThana chahiye
puKHta-kari sikh ye aain-e-KHami ta-kuja
jada-e-afrang par yun tez-gami ta-kuja
soch tu ji mein ye jhuTi nek-nami ta-kuja
maghribi tahzib ka tauq-e-ghulami ta-kuja
mard agar hai ghair kei taqlid karna chhoD de
chhoD de lillah bil-aqsat marna chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.