Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mustaqbil ki aawaz

Kaif Ahmed Siddiqui

mustaqbil ki aawaz

Kaif Ahmed Siddiqui

MORE BYKaif Ahmed Siddiqui

    abhī ham log bachche haiñ magar ik din javāñ hoñge

    hamīñ ik din vaqār-e-mādar-e-hindostāñ hoñge

    hamīñ gautam hamīñ 'gāñdhī' hamīñ 'zākir' hamīñ 'nehrū'

    hamīñ 'chishtī' hamīñ nānak hamīñ haidar hamīñ Tiipū

    hamīñ apne vatan sarhadoñ ke pāsbāñ hoñge

    abhī ham log bachche haiñ magar ik din javāñ hoñge

    hamīñ meñ koī teacher aur koī doctor hogā

    koī ta.alīm afsar koī enginēr hogā

    hamīñ har chiiz ke mahram hamīñ sciencedāñ hoñge

    abhī ham log bachche haiñ magar ik din javāñ hoñge

    hamīñ raushan kareñge chāñd har rāz-e-poshīda

    hamīñ zāhir kareñge haq har āvāz-e-poshīda

    hamīñ qudrat ke har rāz-e-nihāñ ke rāz-dāñ hoñge

    abhī ham log bachche haiñ magar ik din javāñ hoñge

    hamīñ haiñ 'sūr'-o-'tulsī' 'ġhālib'-o-'tagore' bhī hoñge

    hamīñ kyā 'kaif' ham logoñ se behtar aur bhī hoñge

    ki jo duniyā ke gulshan meñ bahār-e-jāvedāñ hoñge

    abhī ham log bachche haiñ magar ik din javāñ hoñge

    hamīñ ik din vaqār-e-mādar-e-hindostāñ hoñge

    abhi hum log bachche hain magar ek din jawan honge

    hamin ek din waqar-e-madar-e-hindostan honge

    hamin gautam hamin 'gandhi' hamin 'zakir' hamin 'nehru'

    hamin 'chishti' hamin nanak hamin haidar hamin Tipu

    hamin apne watan ki sarhadon ke pasban honge

    abhi hum log bachche hain magar ek din jawan honge

    hamin mein koi teacher aur koi doctor hoga

    koi talim ka afsar koi engineer hoga

    hamin har chiz ke mahram hamin sciencedan honge

    abhi hum log bachche hain magar ek din jawan honge

    hamin raushan karenge chand ka har raaz-e-poshida

    hamin zahir karenge haq ki har aawaz-e-poshida

    hamin qudrat ke har raaz-e-nihan ke raaz-dan honge

    abhi hum log bachche hain magar ek din jawan honge

    hamin hain 'sur'-o-'tulsi' 'ghaalib'-o-'tagore' bhi honge

    hamin kya 'kaif' hum logon se behtar aur bhi honge

    ki jo duniya ke gulshan mein bahaar-e-jawedan honge

    abhi hum log bachche hain magar ek din jawan honge

    hamin ek din waqar-e-madar-e-hindostan honge

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now