mutazad zawiye
aur bisāt-e-ḳhayāl be-pāyāñ
aur muayyan hudūd-e-sharh-o-bayyañ
tez-raftār gardish-e-hālāt
aur āhistagī-e-umr ravāñ
ajnabiyyat kā mustaqil ik bojh
aur shanāsā.iyoñ kā bār-e-girāñ
aql kī ḳhāmī nārasī dil kī
aur tasavvur-shikan haqīqat-e-jāñ
muḳhtalif har vajūd pesh-e-nazar
aur imkān-e-vahdat-e-imkāñ
fikr uqdā-kushā.iyoñ pe musir
aur sar-rishte hī kā ḳhud fuqdānñ
intihā silsiloñ kī nā-mālūm
aur har lamha silsila-e-jumbāñ
mutavātir marāhil-e-tālīm
aur musalsal madārij-e-nisyāñ
shoba-hā-e-ḳhayāl be-tam.īz
aur bahr-e-shanāḳht mohr-o-nishāñ
chaar jānib sarāhtoñ kā hujūm
aur bahr-e-rumūz be-pāyāñ
sail-e-bairūñ ravāñ ba-tarz-e-digar
aur jū-e-andarūñ alag sī ravāñ
ek khoī huī fazā.e-hayāt
aur ehsās-o-fikr sab ġhaltāñ
aur sāñsoñ kī rahguzar pe hujūm
aur āñkhoñ kī rahguzar vīrāñ
aur bisat-e-KHayal be-payan
aur muayyan hudud-e-sharh-o-bayyan
tez-raftar gardish-e-haalat
aur aahistagi-e-umr rawan
ajnabiyyat ka mustaqil ek bojh
aur shanasaiyon ka bar-e-giran
aql ki KHami narasi dil ki
aur tasawwur-shikan haqiqat-e-jaan
muKHtalif har wajud pesh-e-nazar
aur imkan-e-wahdat-e-imkan
fikr uqda-kushaiyon pe musir
aur sar-rishte hi ka KHud fuqdann
intiha silsilon ki na-malum
aur har lamha silsila-e-jumban
mutawatir marahil-e-talim
aur musalsal madarij-e-nisyan
shoba-ha-e-KHayal be-tamiz
aur bahr-e-shanaKHt mohr-o-nishan
chaar jaanib sarahton ka hujum
aur bahr-e-rumuz be-payan
sail-e-bairun rawan ba-tarz-e-digar
aur ju-e-andarun alag si rawan
ek khoi hui fazae-hayat
aur ehsas-o-fikr sab ghaltan
aur sanson ki rahguzar pe hujum
aur aankhon ki rahguzar viran
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.