mutraba
naġhma-e-pur-kaif lab par dast-e-nāzuk saaz par
mutriba qurbān ho jā.ūñ maiñ is andāz par
gaate gaate ik adā ke saath ruk jaanā tirā
phir usī lai maiñ usī andāz se gaanā tirā
ruuTh kar man kar lajā kar muskurā kar naaz se
khīñch dī tasvīr har jazbe kī sau andāz se
chitvanoñ se gaah barsā diiñ balā kī shoḳhiyāñ
gaah bhar liiñ mast āñkhoñ meñ hayā kī bijliyāñ
gaah abrū ḳhanjar-e-saffāk ho kar rah ga.e
gaah aariz ashk se namnāk ho kar rah ga.e
naghma-e-pur-kaif lab par dast-e-nazuk saz par
mutriba qurban ho jaun main is andaz par
gate gate ek ada ke sath ruk jaana tera
phir usi lai main usi andaz se gana tera
ruTh kar man kar laja kar muskura kar naz se
khinch di taswir har jazbe ki sau andaz se
chitwanon se gah barsa din bala ki shoKHiyan
gah bhar lin mast aankhon mein haya ki bijliyan
gah abru KHanjar-e-saffak ho kar rah gae
gah aariz ashk se namnak ho kar rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.