mungphali ki kya hai baat
hī hī dekho chhā ga.ī ab
sī sī sardī aa ga.ī ab
milegī ab phir ye sauġhāt
mūñgphalī kī kyā hai baat
baiTh ke daa.eñ baa.eñ sab
gappeñ māreñ khā.eñ sab
maze kī guzre har ik raat
mūñgphalī kī kyā hai baat
khī khī hañste jaao sab
ban jaa.e biibī koī sabab
ek se nikleñ daane saat
mūñgphalī kī kyā hai baat
saarī chaT kar jaa.eñ sabhī
hañsī hañsī meñ pyaar meñ hī
chal jaa.eñ ghūñse mukke laat
mūñgphalī kī kyā hai baat
shart lagā ke khā.eñ phir
kis ko baiTh dikhā.eñ phir
kaun hai jiitā kis ko maat
mūñgphalī kī kyā hai baat
huuñ huuñ gaal phulāo na
aisī shakl banāo na
daane muñh meñ haiñ chhe saat
mūñgphalī kī kyā hai baat
khā.eñ sunā.eñ kahānī ek
nonī bolā naanī ek
nūrne chūhe kī bārāt
mūñgphalī kī kyā hai baat
khā jaa.eñ ham to seroñ jī
bikhreñ chhilke Dheroñ jī
suneñ jo ammī kī salvāt
mūñgphalī kī kyā hai baat
kuḌ kuḌ karte jaa.eñ sab
biich razā.ī khā.eñ sab
sarmā kī har ThanDī raat
mūñgphalī kī kyā hai baat
khuuñ khuuñ karnā ġhalat bahut
khā ke paanī piinā mat
bāñdh lo palle phir ye baat
mūñgphalī kī kyā hai baat
nashv-o-numā bharpūr kare
kamzorī ko duur kare
bīmārī se mile najāt
mūñgphalī kī kyā hai baat
mile ye har jā khaao tum
har-jā is ko paao tum
hangu ThaTThā yā gujrāt
mūñgphalī kī kyā hai baat
hi hi dekho chha gai ab
si si sardi aa gai ab
milegi ab phir ye saughat
mungphali ki kya hai baat
baiTh ke daen baen sab
gappen maren khaen sab
maze ki guzre har ek raat
mungphali ki kya hai baat
khi khi hanste jao sab
ban jae bibi koi sabab
ek se niklen dane sat
mungphali ki kya hai baat
sari chaT kar jaen sabhi
hansi hansi mein pyar mein hi
chal jaen ghunse mukke lat
mungphali ki kya hai baat
shart laga ke khaen phir
kis ko baiTh dikhaen phir
kaun hai jita kis ko mat
mungphali ki kya hai baat
hun hun gal phulao na
aisi shakl banao na
dane munh mein hain chhe sat
mungphali ki kya hai baat
khaen sunaen kahani ek
noni bola nani ek
nurne chuhe ki baraat
mungphali ki kya hai baat
kha jaen hum to seron ji
bikhren chhilke Dheron ji
sunen jo ammi ki salwat
mungphali ki kya hai baat
kuD kuD karte jaen sab
bich razai khaen sab
sarma ki har ThanDi raat
mungphali ki kya hai baat
khun khun karna ghalat bahut
kha ke pani pina mat
bandh lo palle phir ye baat
mungphali ki kya hai baat
nashw-o-numa bharpur kare
kamzori ko dur kare
bimari se mile najat
mungphali ki kya hai baat
mile ye har ja khao tum
har-ja is ko pao tum
hangu ThaTTha ya gujraat
mungphali ki kya hai baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.