murti
maiñ aksar sochtā huuñ
kyā kahūñ maiñ kyā likhūñ tujh ko
hai koī apsarā tū yā ki phir hai ruup kī devī
tū jo bhī hai
haqīqat meñ hai ik shahkār qudrat kā
ka.ī sadiyāñ safar kar ke
taḳhayyul yuuñ nikhartā hai
yūñhī pal meñ tire jaisī koī mūrat nahīñ bantī
chamelī motiyā nargis gul-e-lāla kañval sandal
sabhī kā ras nichoḌā aur milā kar bhurnhurī miTTī
ghūmā kar chaak kā pahiya
tarāshā ik hasīñ paikar
tabhī phūloñ kī ḳhushbū se
mahaktā hai badan terā
laboñ kī pañkhuḌī us ne
banā.ī hai gulāboñ se
ye kaalī reshmī zulfeñ
hazāroñ saal tak resham
jam.a kar ke bunī us ne
katar kar pañkh moroñ ke
tirī palkeñ tanī us ne
phir is ke baad kun kah kar
mukammal kar diyā tujh ko
main aksar sochta hun
kya kahun main kya likhun tujh ko
hai koi apsara tu ya ki phir hai rup ki dewi
tu jo bhi hai
haqiqat mein hai ek shahkar qudrat ka
kai sadiyan safar kar ke
taKHayyul yun nikharta hai
yunhi pal mein tere jaisi koi murat nahin banti
chameli motiya nargis gul-e-lala kanwal sandal
sabhi ka ras nichoDa aur mila kar bhurnhuri miTTi
ghuma kar chaak ka pahiya
tarasha ek hasin paikar
tabhi phulon ki KHushbu se
mahakta hai badan tera
labon ki pankhuDi us ne
banai hai gulabon se
ye kali reshmi zulfen
hazaron sal tak resham
jama kar ke buni us ne
katar kar pankh moron ke
teri palken tani us ne
phir is ke baad kun kah kar
mukammal kar diya tujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.