Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na di angrez ne ghaalib ko pension

Mohammad Yusuf Papa

na di angrez ne ghaalib ko pension

Mohammad Yusuf Papa

MORE BYMohammad Yusuf Papa

    bahut huuñ jaan se bezār yaaro

    huī ta.alīm dil par baar yaaro

    mujhe banñā nahīñ fankār yaaro

    surayyā se hai mujh ko pyaar yaaro

    mujhe karnī hai dil baat mention

    attention ai dil-e-nādāñ attention

    hai bhautik-shāstr meñ ik chiiz light

    kareñ gar tajraba jaatī hai sight

    ajab hotī hai kuchh rañgoñ meñ fight

    ki mil kar saat ho jaate haiñ white

    mañgāo magnet dekho detention

    attention ai dil-e-nādāñ attention

    chalo ab period mehñdī aayā

    kahīñ darshan kahīñ rūpak chhāyā

    gurū ne sorThā jam kar paḌhāyā

    hamārī to samajh meñ kuchh na aayā

    'kabīr' aur 'sūr' meñ rahtā hai tension

    attention ai dil-e-nādāñ attention

    har ik science chhīkā gaḌant hai

    baḌā dushman mire gaḌant hai

    tap-e-diq nayā Tiikā gaḌant hai

    namak bilkul nahīñ phīkā gaḌant hai

    baḌhā jaatā hai har step pe tension

    attention ai dil-e-nādāñ attention

    hai urdu bhī lambā piir saaqī

    banātī hai haram ko dair saaqī

    kahīñ 'momin' zikr-e-ḳhair saaqī

    kahīñ 'nāsiḳh' hālat ġhair saaqī

    na añgrez ne 'ġhālib' ko pension

    attention ai dil-e-nādāñ attention

    bahut hun jaan se bezar yaro

    hui talim dil par bar yaro

    mujhe banna nahin fankar yaro

    surayya se hai mujh ko pyar yaro

    mujhe karni hai dil ki baat meintion

    attention ai dil-e-nadan attention

    hai bhautik-shastr mein ek chiz light

    karen gar tajraba jati hai sight

    ajab hoti hai kuchh rangon mein fight

    ki mil kar sat ho jate hain white

    mangao magnet dekho detention

    attention ai dil-e-nadan attention

    chalo ab period mehndi ka aaya

    kahin darshan kahin rupak ki chhaya

    guru ne sorTha jam kar paDhaya

    hamari to samajh mein kuchh na aaya

    'kabir' aur 'sur' mein rahta hai tension

    attention ai dil-e-nadan attention

    har ek science ka chhika gaDant hai

    baDa dushman mere ji ka gaDant hai

    tap-e-diq ka naya Tika gaDant hai

    namak bilkul nahin phika gaDant hai

    baDha jata hai har step pe tension

    attention ai dil-e-nadan attention

    hai urdu ka bhi lamba pir saqi

    banati hai haram ko dair saqi

    kahin 'momin' ka zikr-e-KHair saqi

    kahin 'nasiKH' ki haalat ghair saqi

    na di angrez ne 'ghaalib' ko pension

    attention ai dil-e-nadan attention

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now