na jaane kya ho
baat niklegī to phir duur talak jā.egī
log be-vajah udāsī kā sabab pūchheñge
ye bhī pochheñge ki tum itnī pareshāñ kyuuñ ho
uñgliyāñ uTTheñgī sūkhe hue bāloñ kī taraf
ik nazar dekheñge guzre hue sāloñ kī taraf
chūḌiyoñ par bhī ka.ī tanz kiye jā.eñge
kāñpte hāthoñ pe fiqre bhī kase jā.eñge
log zālim haiñ har ik baat kā ta.ana deñge
bātoñ bātoñ meñ mirā zikr bhī le ā.eñge
un kī bātoñ kā zarā sā bhī asar mat lenā
varna chehre ke ta.assur se samajh jā.eñge
chāhe kuchh bhī ho savālāt na karnā un se
mere baare meñ koī baat na karnā un se
baat niklegī to phir duur talak jā.egī
baat niklegi to phir dur talak jaegi
log be-wajah udasi ka sabab puchhenge
ye bhi pochhenge ki tum itni pareshan kyun ho
ungliyan uTThengi sukhe hue baalon ki taraf
ek nazar dekhenge guzre hue salon ki taraf
chuDiyon par bhi kai tanz kiye jaenge
kanpte hathon pe fiqre bhi kase jaenge
log zalim hain har ek baat ka tana denge
baaton baaton mein mera zikr bhi le aaenge
un ki baaton ka zara sa bhi asar mat lena
warna chehre ke tassur se samajh jaenge
chahe kuchh bhi ho sawalat na karna un se
mere bare mein koi baat na karna un se
baat niklegi to phir dur talak jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.