na marne ka dukh
koī mere larazte haath meñ
kāġhaz kā purza aur qalam pakḌā rahā thā
kabhī kuchh zer-e-lab hī baḌbaḌā kar
koī isbāt meñ
āñkhoñ kī aur māthe kī jumbish chāhtā thā
kabhī dāñtoñ meñ hoñToñ ko dabā kar
koī rone kī koshish kar rahā thā
koī to chand lamhoñ ba.ad apne
baal bikhrāne garebāñ nochne kī fikr meñ thā
koī ġhamgīñ chehra aur siyāh malbūs meñ
behad hasīñ ma.alūm detā thā
mere ajdād ke nāmoñ ko gañvā kar
koī mujh se ta.alluq joḌtā thā
sabhī nazdīk the mere
udhar bhaa.ī bhatīje the
udhar bahneñ thiiñ bhānje the
phir un ke ba.ad
rishte joḌne vaale saf-ārā the
ye lagtā thā ki kuchh hī der meñ
mātam bapā hogā
maiñ un bātoñ se
bistar par paḌā
āñkhoñ ko thoḌī sī khulī rakh kar
baḌe dilchasp muuD meñ thā
sabhī ġhamgīn the lekin
tamannā.eñ thiiñ āñkhoñ meñ
yakāyak maiñ ne karvaT lī
aur āñkheñ khol kar uThne kī koshish kī
to dekhā
sabhī ke lab pe masnūī hañsī thī
chamak āñkhoñ se ġhā.eb thī
koi mere larazte hath mein
kaghaz ka purza aur qalam pakDa raha tha
kabhi kuchh zer-e-lab hi baDbaDa kar
koi isbaat mein
aankhon ki aur mathe ki jumbish chahta tha
kabhi danton mein honTon ko daba kar
koi rone ki koshish kar raha tha
koi to chand lamhon baad apne
baal bikhrane gareban nochne ki fikr mein tha
koi ghamgin chehra aur siyah malbus mein
behad hasin malum deta tha
mere ajdad ke namon ko ganwa kar
koi mujh se talluq joDta tha
sabhi nazdik the mere
udhar bhai bhatije the
udhar bahnen thin bhanje the
phir un ke baad
rishte joDne wale saf-ara the
ye lagta tha ki kuchh hi der mein
matam bapa hoga
main un baaton se
bistar par paDa
aankhon ko thoDi si khuli rakh kar
baDe dilchasp muD mein tha
sabhi ghamgin the lekin
tamannaen thin aankhon mein
yakayak main ne karwaT li
aur aankhen khol kar uThne ki koshish ki
to dekha
sabhi ke lab pe masnui hansi thi
chamak aankhon se ghaeb thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.