na mera makan hi badal gaya na tera pata koi aur hai
na mirā makāñ hī badal gayā na tirā pata koī aur hai
mirī raah phir bhī hai muḳhtalif tirā rāsta koī aur hai
pas-e-marg ḳhaak hue badan vo kafan meñ hoñ ki hoñ be-kafan
na mirī lahad koī aur hai na tirī chitā koī aur hai
vo jo mahr bahr-e-nikāh thā vo dulhan kā mujh se mizāh thā
ye to ghar pahuñch ke pata chalā mirī ahliya koī aur hai
mirī qātilā mirī laash se ye bayān lene ko aa.ī thī
na de mulzima ko sazā police mirī qātilā koī aur hai
jo sajā.ī jaatī hai raat ko vo hamārī bazm-e-ḳhayāl hai
jo saḌak pe hotā hai raat din vo mushā.era koī aur hai
kabhī 'mīr'-o-'dāġh' kī shā.irī bhī mo.āmla se hasīn thī
magar ab jo sher meñ hotā hai vo mo.āmla koī aur hai
tujhe kyā ḳhabar ki maiñ kis liye tujhe dekhtā huuñ kan-añkhiyoñ se
ki barāh-e-rāst nazāre meñ mujhe dekhtā koī aur hai
ye jo tītar aur chakor haiñ vahī pakḌeñ un ko jo chor haiñ
maiñ chakor-akor kā kyā karūñ mirī fāḳhta koī aur hai
mujhe maañ kā pyaar nahīñ milā magar is kā baap se kyā gila
mirī vālida to ye kahtī hai tirī vālida koī aur hai
na mera makan hi badal gaya na tera pata koi aur hai
meri rah phir bhi hai muKHtalif tera rasta koi aur hai
pas-e-marg KHak hue badan wo kafan mein hon ki hon be-kafan
na meri lahad koi aur hai na teri chita koi aur hai
wo jo mahr bahr-e-nikah tha wo dulhan ka mujh se mizah tha
ye to ghar pahunch ke pata chala meri ahliya koi aur hai
meri qatila meri lash se ye bayan lene ko aai thi
na de mulzima ko saza police meri qatila koi aur hai
jo sajai jati hai raat ko wo hamari bazm-e-KHayal hai
jo saDak pe hota hai raat din wo mushaera koi aur hai
kabhi 'mir'-o-'dagh' ki shairi bhi moamla se hasin thi
magar ab jo sher mein hota hai wo moamla koi aur hai
tujhe kya KHabar ki main kis liye tujhe dekhta hun kan-ankhiyon se
ki barah-e-rast nazare mein mujhe dekhta koi aur hai
ye jo titar aur chakor hain wahi pakDen un ko jo chor hain
main chakor-akor ka kya karun meri faKHta koi aur hai
mujhe man ka pyar nahin mila magar is ka bap se kya gila
meri walida to ye kahti hai teri walida koi aur hai
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 130)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.