na sataish ki tamanna
nidā aa.ī
amboh-e-shaidāiyāñ
nāznīnān-e-shahr-e-taḳhayyul
ġhazālān-e-fikr-o-nazar
ġham-gusārān-e-dār-o-salīb-orasan
dair se aqīdat kī nāyāb sauġhāt le kar
dar-e-gumbad-e-fan pe sajda-kunāñ haiñ
pa.e-dīdan-e-manzar-e-shād-kāmāñ
baḌī tamkanat se uThā
uTh ke maiñ ne
jo dekhā to had-e-nazar tak farokash
lahū kī lakīroñ kā ik kārvāñ thā
kabhī jo rag-o-pai meñ merī ravāñ thā
nida aai
amboh-e-shaidaiyan
nazninan-e-shahr-e-taKHayyul
ghazalan-e-fikr-o-nazar
gham-gusaran-e-dar-o-salib-orasan
dair se aqidat ki nayab saughat le kar
dar-e-gumbad-e-fan pe sajda-kunan hain
pae-didan-e-manzar-e-shad-kaaman
baDi tamkanat se uTha
uTh ke main ne
jo dekha to had-e-nazar tak farokash
lahu ki lakiron ka ek karwan tha
kabhi jo rag-o-pai mein meri rawan tha
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 565)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.