na-binai mein ek KHwab
maiñ huuñ sar-chashma-e-avval se bahut duur
pa.e-nūr bhaTakne vaalā
raushnī aks-ba-aks aatī hai in āñkhoñ tak
aa.ine apnī ḳhayānat se nahīñ ḳhud vāqif
in ko ma.alūm nahīñ
zāviye in ke badal dete haiñ kirnoñ kā mizāj
aaj is nūr-e-moharraf se hai āñkhoñ meñ thakan
dil meñ ḳhannās kī sargoshi-e-paiham kī chubhan
kaash sar-chashma-e-avval se utar aa.e koī raast kiran
jo mirī ruuh kī zulmat meñ ujālā kar de
maiñ ki huuñ kor mujhe dekhne vaalā kar de
main hun sar-chashma-e-awwal se bahut dur
pae-nur bhaTakne wala
raushni aks-ba-aks aati hai in aankhon tak
aaine apni KHayanat se nahin KHud waqif
in ko malum nahin
zawiye in ke badal dete hain kirnon ka mizaj
aaj is nur-e-moharraf se hai aankhon mein thakan
dil mein KHannas ki sargoshi-e-paiham ki chubhan
kash sar-chashma-e-awwal se utar aae koi rast kiran
jo meri ruh ki zulmat mein ujala kar de
main ki hun kor mujhe dekhne wala kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.