na-dida rifaqat mein
kuchh bhī to nahīñ vaisā
jaisā tujhe sochā thā
jitnā tujhe chāhā thā
sochā thā tire lab par
kuchh harf duāoñ ke
kuchh phuul vafāoñ ke
mahkeñge mirī ḳhātir
kuchh bhī to nahīñ vaisā
jaisā tujhe sochā thā
mahsūs ye hotā hai
dukh jhele the jo ab tak
be-nām masāfat meñ
likhne kī mohabbat meñ
paḌhne kī zarūrat meñ
be-sūd riyāzat thī
be-faiz ibādat thī
jo ḳhvāb bhī dekhe the
in jāgtī āñkhoñ ne
sab ḳhām-ḳhayālī thī
phir bhī tujhe paane kī
dil ke kisī goshe meñ
ḳhvāhish to bachā lī thī
lekin tujhe pā kar bhī
aur ḳhud ko gañvā kar bhī
is habs ke mausam kī khiḌkī se havā aa.ī
na phuul se ḳhushbū kī koī bhī sadā aa.ī
ab niiñd hai āñkhoñ meñ
naañ dil meñ vo pahlī sī taaza suḳhan-ārā.ī
naañ lafz mire nikle
naañ harf-o-muāfī kī dānish mire kaam aa.ī
nādīda rifāqat meñ
jitnī bhī aziyyat thī
sab mere hī naam aa.ī
kuchh bhī to nahīñ vaisā
jaisā tujhe sochā thā
jitnā tujhe chāhā thā
kuchh bhi to nahin waisa
jaisa tujhe socha tha
jitna tujhe chaha tha
socha tha tere lab par
kuchh harf duaon ke
kuchh phul wafaon ke
mahkenge meri KHatir
kuchh bhi to nahin waisa
jaisa tujhe socha tha
mahsus ye hota hai
dukh jhele the jo ab tak
be-nam masafat mein
likhne ki mohabbat mein
paDhne ki zarurat mein
be-sud riyazat thi
be-faiz ibaadat thi
jo KHwab bhi dekhe the
in jagti aankhon ne
sab KHam-KHayali thi
phir bhi tujhe pane ki
dil ke kisi goshe mein
KHwahish to bacha li thi
lekin tujhe pa kar bhi
aur KHud ko ganwa kar bhi
is habs ke mausam ki khiDki se hawa aai
na phul se KHushbu ki koi bhi sada aai
ab nind hai aankhon mein
nan dil mein wo pahli si taza suKHan-arai
nan lafz mere nikle
nan harf-o-muafi ki danish mere kaam aai
nadida rifaqat mein
jitni bhi aziyyat thi
sab mere hi nam aai
kuchh bhi to nahin waisa
jaisa tujhe socha tha
jitna tujhe chaha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.