na-gahan aur be-nihayat
''nā-gahāñ'' aur ''be-nihāyat'' se agar pīchhe haTogī to tujhe ma.alūm hogā
nā-gahāñ to maiñ huuñ lekin kaun thā vo be-nihāyat
koī pichhlā jis ne tujh ko mujh se pahle
terī kachchī umr meñ
yuuñ chiir kar zaḳhmī kiyā thā tū taḌaptī rah ga.ī thī aur ye kaḌvā-kasīlā zahr
sote jāgte ḳhvāboñ meñ amrit jaan kar piitī rahī hai
kyuuñ bhalā? kyuuñ ''nūr'' ''naġhme'' yā kisī ''harf-e-tasallī'' se
tarah naars ḳhalā ḳhālī rahā itne dinoñ tak?
aur ab phir tū aaj agar ik nā-gahānī hādse meñ
nā-gahāñ se aa milī hai apnī pakkī umr meñ to yuuñ samajh
jaise ki kachchī aur pakkī donoñ umroñ meñ koī nisbat nahīñ hai
pūchh ḳhud se
ek chauthā.ī sadī ke ba.ad phir kyuuñ
justujū hai tujh ko us zālim darinda-sifat kii, jis ko ye kah kar
chhoḌ aa.ī thī jhaTak kar, ''ek vahshī jānvar ho be-nihāyat
tum se nafrat hai mujhe''
''nā-gahāñ'' kyā ''be-nihāyat'' kī tarah vahshī nahīñ thaa?
haañ, magar vo jānvar shāyad nahīñ thā
(jānvar, tum jāntī ho, chīrte haiñ, phāḌte haiñ!)
is liye ab tajraba vo apnī pakkī umr meñ dohrā ke ḳhud
''harf-e-tasallī'' kā sahārā chāhtī ho?
ḳhud se pūchho, kyā ye sachchā.ī nahīñ hai?
na-gahan aur be-nihayat se agar pichhe haTogi to tujhe malum hoga
na-gahan to main hun lekin kaun tha wo be-nihayat
koi pichhla jis ne tujh ko mujh se pahle
teri kachchi umr mein
yun chir kar zaKHmi kiya tha tu taDapti rah gai thi aur ye kaDwa-kasila zahr
sote jagte KHwabon mein amrit jaan kar piti rahi hai
kyun bhala? kyun nur naghme ya kisi harf-e-tasalli se
tarah nars KHala KHali raha itne dinon tak?
aur ab phir tu aaj agar ek na-gahani hadse mein
na-gahan se aa mili hai apni pakki umr mein to yun samajh
jaise ki kachchi aur pakki donon umron mein koi nisbat nahin hai
puchh KHud se
ek chauthai sadi ke baad phir kyun
justuju hai tujh ko us zalim darinda-sifat ki, jis ko ye kah kar
chhoD aai thi jhaTak kar, ek wahshi jaanwar ho be-nihayat
tum se nafrat hai mujhe
na-gahan kya be-nihayat ki tarah wahshi nahin tha?
han, magar wo jaanwar shayad nahin tha
(jaanwar, tum jaanti ho, chirte hain, phaDte hain!)
is liye ab tajraba wo apni pakki umr mein dohra ke KHud
harf-e-tasalli ka sahaara chahti ho?
KHud se puchho, kya ye sachchai nahin hai?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.