na-kaam koshish
ahmaq qumqumo! bevaqūf mashīno!
tum sab shāyad sochte hoge
apnī tez chakā-chauñd raushnī se
apnī ghaḌ-ghaḌāhaT se dhamak se
mere andar kisī ko
behāl karoge ḳhauf-zada kar doge!
uñh be-kār na itrāo
mere andar kā koī
kab kā so chukā
ab to sote meñ jhurjhurī bhī nahīñ letā
ab to keval maiñ huuñ
tum sā tumhāre jaisā ''maiñ''!
ahmaq qumqumo! bewaquf mashino!
tum sab shayad sochte hoge
apni tez chaka-chaund raushni se
apni ghaD-ghaDahaT se dhamak se
mere andar kisi ko
behaal karoge KHauf-zada kar doge!
unh be-kar na itrao
mere andar ka koi
kab ka so chuka
ab to sote mein jhurjhuri bhi nahin leta
ab to kewal main hun
tum sa tumhaare jaisa main!
- Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 152)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.